AKC   (Ajeet Chaurasia)
23 Followers · 13 Following

IN A JOURNEY OF DISCOVERING MYSELF!
Joined 27 November 2018


IN A JOURNEY OF DISCOVERING MYSELF!
Joined 27 November 2018
19 JUN 2022 AT 21:14

anjana mai kaise na jana
mushkil ne hi hai lalsaaya
jeet pe na itrana tha mujhko
banjar jivan ne sab darshaya

rukte nahi hai shabd mere
jee bhar panno pe gehraya
saada jivan usne paaya
jisne ye sawal hai laya

-


19 JUN 2022 AT 21:12

sawan ke har mausam mai
ban barsat khud ko chalkaya
jeet mai ojhal na hona tha
jaise taise bas zinda bach aya

jivan se pucha fir maine
insaan kyun bhula bhatkaya
mila jawab yun jivan se
khudrat ka hai sab sikhaya

-


19 JUN 2022 AT 21:09

kar himmat vo daud pada
patka usko aur harkaaya
parchayi se kyun ladta hun
khud ko maine fir samjhaya

hun dooba ek sagar mai
lehron ne hai khud sarkaya
koshish se ab ub chuka hun
path ab sapno ne darshaya

-


19 JUN 2022 AT 21:05

saada jivan kisne paaya
kisne ye sawal hai laaya
jaana maine toh puchliya
jeet se aaj hun takraaya

thama jeet ko maine kyun
shrap liya fir mai pachtaya
mai samjha pehchan gaya
haar ne mujhko hai tarsaaya

-


18 MAR 2022 AT 10:21

Aya jab khamosh toofan
haseen vo khwaab toota hai
mehakta aasman bhi roya
ab toh har zarra rootha hai

Zehan kamzor hone chala
dekho jazbaat bhi chootha hai
elan krdo saare zamane ko
uss kambhakt ne mujhe loota hai

-


1 JUL 2021 AT 19:34

anurag ke shankh se
gunjta ye sansaar hai
vicharon se khelna
mann ka aahaar hai

hulchul jaise bahaav mai
bulbulon ki guhaar hai
mitti si pehchan tumhari
har lehar bani kumhar hai

-


30 JUN 2021 AT 19:31

dhong pe ab chal rha
sach ka karobar hai
behoshi ka alam dekho
soona har darbar hai

badle kaise buniyadein
khud ka jo ahankar hai
abhivyakti ko roop do
ye uttam alankar hai

-


29 MAR 2021 AT 9:53

satrangi maahol ka
swagat tum ab shaandaar karo
vasant mausam ka
pancham tum ab jaandaar karo

jashn-e-khushiyon se
bharpur burayi ka tum naash karo
hokar malang doob jaao
pehra rango ka tum kailash karo

-


22 JAN 2021 AT 19:41

libaaz pe naa gaur kar
karm ka maidaan hai
thodi-modi zindagi
fir maut ka elaan hai

fizul si ab kahawatein
sirf satya ki udaan hai
jivan ki takht bin sarhadein
ek yahi toh vardaan hai

-


21 JAN 2021 AT 19:24

shoorveer tum uth chalo
karna ab nidaan hai
naksha naya taiyaar kro
fir mushkilein asaan hai

karz ka deedar karo
ye jeet ka armaan hai
antrik pehchaan ka
badalti punji nirmaan hai

-


Fetching AKC Quotes