Akash Mathur   (Akash Mathur)
41 Followers · 10 Following

read more
Joined 28 August 2018


read more
Joined 28 August 2018
15 JUL 2023 AT 18:18

Maa!
Tu hai Mera aasman,
Meri har khushi,
Aur Mera Sara Jahan!
Sirf ek Kavita nahi, Mera poora Jeevan hi toh hai Teri dastan!
I love you.
Happy Birthday

-


31 JAN 2023 AT 6:36

Mai lamho ki baat karu...
Kitne lamho se hi Mai bana hun!
Khabi adha sa Jo Lage...
Toh kabhi jaise Pura mai bhara hun!
Mai wahi hun jo,
Chand lamho mein jeeta hun!

-


1 OCT 2022 AT 17:00

Jeet ki talash mein...
Roz haar- Jeet mai karta hun!
Bhul gya kya baat mai.....itne saalso se jo Jeet Raha hun.
Ye aag mujh mein iss tarah,
Aarambh hai prachand hai!
Mai shunya se shurwat kar...fir shuru se gin raha hun!

-


29 MAY 2022 AT 21:09

Insaan ka Beparwah Mann...
parwah kyu karta hai jaane,
2 pal ki khushi ke liye, din raat kyu ek karta hai ye jaane?
Zindagi itni mushkil hai kya? Isko samjhne mein...har bar kyun der karta hai ye jaane?
Sab janta hai kya horaha hai uske sath...phir kyu anjaan banta hai ye jaane?

Zindagi jee kar marta toh theek...
Par zindagi jeete hue roz koi kyun Marta hai yun jaane?

Kharch karta hai apne ko,
Phir sab yaad kyu karta hai ye jaane?

-


22 FEB 2022 AT 11:21

Kis cheez ki mujhe talash hai?
Khabi khaali rehta hun...toh khabi
Saari kayanat mere pass hai!

Shyed wo kal ke jo beete pal hai ..
mujhe unko jeene ki ab pyaas hai.

Kis cheez ki mujhe talash hai?

Kehne ko toh sab mere pass hai,
Phir bhi shyed mai dhund raha hun...
Jo beeta hua ithihaas hai!

-


1 JAN 2022 AT 17:04


Jo Guzar gye, Kano mein apne mai unki awaaz rakhta hun.

Zindagi yahi toh sahab, jo nahi rukhti....
Isliye mai chal to rhaa hun par...

Hamesha apne sath...
Mai unki yaad rakhta hun!

-


28 DEC 2021 AT 21:18

Mai apne hi mann,
Apne jahan mein hun!
Jaisi ye waqt hai mera...khabi uper toh khabi neeche,
Iss baat se kaafi hairan mai hun!

Zindagi ko dil se jo jeeta hun....
Shyed aaj bhi naadan mai hun!

Aage badhne ki latt hai mujhe...Zara sa tham jo gaya hun abhi,
Toh bada pareshan mai hun!

Par samay ki baat toh hai....aaj Halki si hawa hi sahi..
Kal aane wala poora Toofaan mai hun.

-


14 DEC 2021 AT 11:52

Zindagi ne mujhe yahi sikhaya hai,
Insaan ne doosre insaan ko...

Bas kuch waqt ke liye hi toh kamaya hai!

-


21 NOV 2021 AT 23:42

Kuch mai seekhata hun,
Kuch log mujhe seekhate hain...

Akasar hum insaan ek doosre ko apna tajurba hi toh sunate hain?
Kuch khas hai HUM SAB mein...
khabi mai kisko ko batata hun,
Toh khabi log mujhe yaad dilate hain......

Mere liye jeene ka matlab yahi toh hai.....
Kuch kisse mai banata hun,
Kuch kahani hum sab milkar banate hain?

Aur kuch nahi ho Saka toh sahi...
Jo tumse umeed rakhta hai...
Unka hausla hi badhate hai?

-


5 SEP 2021 AT 0:31

Keeping 3 G's of my life with me always

-GOD
-GRATITUDE
-GRIT

-


Fetching Akash Mathur Quotes