Dunya ki race jeetne k liye sab ko pichhe chhodna padta hai......
Lekin,
Rishto'n ki race jeetne k liye khud ko pichhe rakhna padta hai......
-
यादों से ही तो, जिंदगी खूबसूरत बनती है.........
किताबों पे धूल जमने से, कहीं कहानी बदलती है....
-
Juda hone se pehle, maine aakhri baar apne chand ko benaqab hone ko kaha....
Aur unse inkar kar diya. Use dar tha k agar dobara apne aap ko benaqab kiya,
To juda hona Mushkil hojayega..... Mai, uske mana karne k baad apni nazron ko narazgi bhare andaz me jhuka Liya aur, car k bahar aati jati gadiyon ko dekhne laga...kuch lamha guzra hi tha k, use
khyal aaya ye, hamari aakhri mulaqat hai.... Aur usne apne Rukh se fir ek baar, aur aakhri baar parda hataya....abhi maine use dekha bhi nahi tha, k dil jor jor se dhadakne laga, mai Ab bhi apni nazro'n ko aati jati gadiyo'n me uljhaye hua tha.... Kuch lamha guzra hi tha k ek halki si makhmali Awaz me, apni nazro'n ko Jhukaye huye, apne ek hath ki ungli se dusri hath k ungli ko dabate huye, pyar bhare andaz me usne kaha " jate jate naraz ho k jaoge"?....
(Pehli aur aakhri mulaqat, AG)
-
Usne kaha, mujhe bhool jana......
Koi Samjhaye mujhe, woh bhoolne k liye keh gayi, ya yaad karne k liye......
Kyu k, kisi ko bhoolne k liye, pehle use yaad karna padta hai......
-
Shaam hone wali thi, asman k hath pile ho chuke the, suraj apne aap ko parda kar raha tha, hawao'n me halki thandak thi, raat k sannate'n me samandar k lehro'n k sur dil ko lubha rahi thi, dhire dhire chand apne aap ko benaqab kar raha tha, aur mai Ab tak apne chand k beparda hone ka Intezar kar raha tha..... aakhir kaar, mere chand ne apne Rukh se parda hataya, dil tham sa gaya, mera chand pehle se aur haseen hogaya tha, usme pehle se jayada Chamak thi, mai apne chand ko dil bhar k dekhna chahata tha, lekin darta tha, kahi'n meri nazar na lag jaye use...
Is beech hawao'n aur zulfo'n ne mil kar mere chand k gaal se khelna shuru kar diya. Woh apne balo'n ko galo'n se hatane me masroof hogayi aur mai use niharne me,dil bharta hi nahi tha........... kahi'n mai gam me na doop jaun, is darr se usne apne chehre ko chupa Liya, woh janti thi ye chand kuch lamho'n k liye benaqab hua hai, kahi mujhe uski Aadat na lag jaye, kyu k.................................. woh hamari aakhri mulaqat thi.........
-
Guzre dino me kuch aise lamhe guzre, jo haseen, bhut haseen the. Un lamho'n ko yaad karte hi Chehre pe apne aap muskurahat aajati hai..... Lekin, agle hi pal dil udaas hojata hai, ye soch kar k woh lamhe guzar gaye, woh pal, woh sath, woh mulaqat wapas nahi aayega, kabhi nahi aayega......
Lekin, dil ek baar phir machal jata hai ye soch kar k bhale woh pal, woh sath, woh mulaqat guzare Waqt k sath guzar gaye. Lekin woh sare ehsaas, yado'n ki surat me aaj bhi mere sath hai,mera paas hai aur uspe mera, sirf mera haq hai. Jo mere sath mere aakhri saan's tak rahegi....
-
Har insan gulab ko pasand karta hai, aur apne najdeek rakhna chahata hai. Lekin kanto'n ko nahi...
Jo usi gulab ka hissa hai...
Jab kisi se pyar karo to uski khubiyo'n k sath sath uske khamiyo'n se bhi karo...
Warna rishte nibhana Mushkil ho jayega...
-
Kuch logo'n ki zindagi un toote huye taro'n ki trah hoti hai, jo har ek ki khawahish Poori karne k liye bas toot te rehte hai'n......
-
Maine, use kaha jao aur mud k pichhe mat dekhna......
Aur mai khud tab tak khada raha, jab tak woh meri ankho'n se ojhal na hogayi....
Is Intezar me, k woh ek baar to mud k dekhe gi. Lekin, usne nahi dekha..
Woh janti thi, k mai pichhe khada hu aur agar mud k dekha to mai kamjor pad jaunga..
Aur woh mujhe kamjor nahi dekhna chahti.......
Aise hum dono apni apni dunya me wapas Chale gaye,n.....
Woh hamari aakhri mulaqat thi
-
Mera ishq, suraj aur zameen ki trah hai...
Zameen janta hai, k mai kabhi suraj se mil nahi sakta, fir bhi uske gird raat din chakkar lagata hai...
Ye sab jante huye bhi suraj zameen ko apne najdeek nahi aane deta. kyu k suraj janta hai meri tapish zameen ko Takleef degi...
Dekha hai kabhi aisa ishq? ....
Dono ek dusre ki Judai me hamesha jalte hai'n take baki sab khush reh sake'n..-