Wo jo base the rooh bankar,
Ab dil se utar gaye hai'n...
Jinki tasveer na giri batve se,
Woh aaj nazro'n se gir gaye hai'n...-
Qatl-e-yaar jab mumkin hai khuli zulfo'n se...
Fir kyun khanjar ko khul-e-aam kiya jaye...-
Tere aagaaz (start) ke liye, mai anjaam(end) ho jau'n...
Agar ho tera naam, to mai badnaam ho jau'n..
Rishta na pooch, bas mehsoos kar mujhe...
Agar tu ban ja राधा to mai tera श्याम ho jau'n...-
Nazar se Nazar to mila, ki koi baat bane...
Din sunehra aur khoobsurat raat bane...
Rasm-e-duniya ko chhod , rooh ka hissa ban meri ...
Mar ke bhi na bhule duniya, chal aisi koi zaat bane...
-
Kadam se kadam mila kar, sath chal bhi sakta hu'n...
Mai teri soch ke sanche me, dhal bhi sakta hu'n...
Waise to hu'n mai dil ka bhut sakht...
Par ek muskurahat par teri, pighal bhi sakta hu'n...-
Palkei'n jo tumne jhuka rakha hai...
Na jane kitno'n ko bacha rakha hai...
Nazar ke uthte hi na jane kitne honge barbaad...
Ek toofa'n ko tumne ankhon me chhupa rakha hai...-
Ye jo husn par tujhko rubab hai...
Mere ishq se hi to shabaab hai...
Jo tere qatre qatre me basa hu'n mai ...
Fir kyu'n mujhse ye hijab (parda)hai..
-
Mujhe jis shakhs pe jo itna guroor hai...
Woh mere paas hokar bhi bhut door hai...
Aur ye jo mai Aaj kal khoya khoya rehta hu'n...
Khoobsurat aankho'n ka nahi, unki nazro'n ka qusoor hai...-
Thi khafa wo kab se, magar chand raat me...
Mere naam ki mehandi sazi thi uske hath me...
Tareef kiya maine mehandi ki jis khadi...
Sharma ke hath rakh di mere hath me...-
Hon't gulabi , kaan ka jhumka, aur gale pe til...
Pari ho ya koi hoor ho, ya ho mera dil...-