Tere khat, aaj mai'n darya mein baha aaya hoo'n...
Aag, behte huye paani mein laga aaya hoo'n...
Padh padh kar mere dil me uthh te the jo tufaan,
Reh reh kar mere dil me uthte the jo armaan,
Us tufaan ko, armaan ko lehro'n ke hawale,
Behte huye aansoo, halaat ka mara
Tere tehreer ki khushboo, mehke mera rooh rooh...
Darya ki lehron par, mere Dard ki kahani,
Mera masoom sa bachpan, bharpoor jawani...
Sab kuch mai behte huye dhara Me uda aaya hu'n.
Tere khat, aaj mai'n darya mein baha aaya hoo'n...
Aag, behte huye paani mein laga aaya hoo'n...
-
Zindagi chhoti nahi hoti...
Log jina hi der se shuru karte hai'n...-
Ek muddat se usne mujhe sataya nahi...
Kiya itna bhool gaya,ke yaad aaya nahi..
Main to muntazir tha uske pehal ka,
Aur woh hai ke ab tak mujhe manaya nahi...
Woh mujhe bhool gaya ,ya hai is koshish me..
Meri is uljhan ko ab tak suljhaya nahi..
Mai use har waqt har lamha yaad karta hu'n...
Use aane wali hichkiyon ne kiya bataya nahi...?
-
Kisi ki zahiri khoobsurati ki tareef,
ye zahir Karti hai..
ke tareef karne wale ki soch bhi zahiri hai..
-
Woh har baar, khud pe waar karti hai...
Apne dil ko jala kar, ghar ko nikharti hai...
Jab bhi aati hai meri yaad use...
Aankho'n me aansu liye, woh apna shinghar karti hai...
-
Subha hote hi Tere rukh ki baat hone lagi...
Tumhari zulfe'n jo bikhri to raat hone lagi...
Mehfil me tera, mujhe chupke se dekhna tha ke...
Har taraf meri hi baat hone lagi...-
Us shaam ki tarah, har shaam, sukoo'n ko mehfooz Kar lete hai'n....
Jab bhi tanha hote hai'n, tumhe mehsoos kar lete hai'n....🍂
-
Halke me mat lena, tum sawle rang ko...
Doodh se kayi jayada dekhe hai, "CHAI" ke shauqeen humne-
Ek khawahish ko, mai kitni bar mar gaya...
Use jeet kar, phir usi se haar gaya...
-