"Pr Huwa Kya ..?"
(Read in Caption )-
waqt bit ta Gaya, aur lamha ban gaya.
Wo bichhad gaya, aur paraya ban gaya,
are jaate jaate unse itillah tak na kiya,
wo shaksh itna badal Gaya...
mili khabar uske shaadi ki,
wo kisi aur ki hone jaa rhi thi.
haatho main mahendi, kaano main jhumke,
maathe pr bindiyaan, kangan, paayal tha
main khade dekhta raha
lagaye fere, saari rashme huyi,
doli uthi, aur haadsa ban gaya...
-
Chhod gayi hain to sath rahene ka dikhawa na kar,
Naye rakeeb ko apna chuki hain, to majburiyon ka bahana na kar.
Taaro ko unki chamak achhi nahi lagti,
Samandar main lahere ab uchi nahi uthti,
Aazaad panchhi ko khula aasmaan bada nahi lagta,
Kya kahete ho mohobbat hain mujhse,mujhe ye mohobbat sachi nahi lagti...-
"Samshaan"
Raate maine samshaan main bitai hain,
Baith kar puri zindagi samajh aayi hain.
Murdo ke bich samaaj ka wyapaar na tha,
Har jaat ki raakh ka rang alag na tha.
Jalti Chita ko dekh sab yaad aa raha tha..
Maa ki god se lekr samshaan tak ka safar nazar aa raha tha.
Jaat paat ka khel zindgi main bana rakha hain,
Marne ke baad sabko chita me jala rakha hain...
Wahi lakdi, wahi kafan na kuch badal raha hain,
Jalne k baad har koi raakh hi to ban raha hain..
-
He: Baten hongi , mulakate hongi
Kabhi na bhulayi jane vali yaaden hongi...
Kuch tum kahogi , kuch main kahunga
Subah se shaam hogi , bina kuch kahe bhi baate hongi
Kabhi na bhulayi jane vali yaaden hongi...
She: Kii fir din dhalega aur raat hogi...
Raat ki inhi tanhaiyon me vo tumhari...
kabhi na bhulayi jane vali yaaden hongi 😊-
Intazaar hain mujhe Zindagi ke us pal ka,
Jaha pal bhar ka bhi waqt na ho mere pass.-