Sota samundar, thehra paani,
Gehraai chupaye doobi kahaani.
Chhoo le jo is khaamosh udaasi ko,
Lautta nahi kabhi wapis zinda insaani.
Lehron ke neeche soyi hai cheekh,
Har saans mein ghuli hai zehrili teekh.
Aankhon mein tufaanon ka ghera,
Seene mein basa hai andhera-e-shab-e-savera.
-
Some of us are cursed with them !! "
Pinjre mein qaid hain ab tak hum,
Udne ka hausla chhod diya hai.
Khwaabon se rishta bacha rakha hai,
Haqeeqat se naata tod diya hai.
Dhoop-parchaayi sab begane se hain,
Saath ka bharosa chhod diya hai.
Wafaaon ka intezaar bhi ab nahi,
Sadaon ne bhi sataana chhod diya hai.
Ab khud se khudki rihaai chaahte hain,
Zindagi se rakhna hisaab-kitaab chhod diya hai.-
Keh doon jo haal-e-dil
Zubaan bhi jal jaaye
Jo dafan hain seene mein
Shola-e-gubaar bhi fatt jaaye
Rakhta hun sandook-ae-khamoshi
mein band khudko
Kardu izhaar-e-ikrar toh sab raakh ho jaaye-
चलो अब न गिनें वो पल, जो खो गए वक़्त की राहों में,
चलो थाम लें वो लम्हें, जो मुस्कान बनें निगाहों में।
जो बीत गया, वो सपना था,
जो आ रहा है, वो अपना है।
हर हार के पीछे कोई डेरा था,
हर शाम के बाद एक सवेरा है,
चलो नई कहानी लिखो, बीते पन्नों के किस्सो में,
नई ज़िंदगी बरकत हो शामिल खुशियों के हिस्सो में ।
-
Hawaon ke saaye mein sitaare bhi roye hain
Aasmaan dekho, khamosh, toofan sanjoye hain
Parindo ke pankh ab kuch majboor se hoye hain
Dar tere pahuchne ke ‘Khuda’
sabhi darwaje band hoye hain-
Kitni nadiyaan, kitne naale pee gaya hoon main,
Samundar hoon, beqaraar, gehrai dabaye jeeta raha hoon main..
Tum kisi jahaaz si seene mein utar, rubaru hui ho mere..
Warna toh ek chaand hi tanhaai ke aansuo ko chhupaye rakhta raha hain mere.
-
Har mulaqat ka anjam mohabbat hoti nahi
Har shaqs se wafa rakhni bhi sahi hoti nahi-
Lagte na pankh humko kabhi
Hum aasman se milte nhi
Milte na tum jo humko kabhi
Kadmo se zameen kabhi sarakti nahi-
Dekha kiye haseen lakhon magar
Aaya koi na humko pasand
Hoke malang hoke malang
Karte rahe banke beraagi sirf tumko pasand-