agar yeh duniya gulistan
toh main ek phool sadgi ka
na rukha na hi khila
magar muskuraahat ka
pegaam ab bhi pohchati
bss intezaar ek chehre ka
jisske liye mujhe khilna h-
khawaishe h toh kyii
magar andhere ke aagodh me
kohara itna bhi gehra nhi
per afsos akeen hi nhi
do kadam bardhane me-
Yeh khataa huii h humse
Kii ab hum hum na rhe
Tum Tum Na rhe
Yeh waqt ka takaaja toh dekhe
Ruhh ek ho kr bhii
Jism bechaara gye
Kaisa yeh Ishq!!-
Mein uss kii aakho me kya khoii
ussne toh aapna Jahan hi
Kissi aur ki aakhoo me bsaa Liya
That's how we lost each other-
Kyii hasrate bssi iss Dil me
Hazaroo gustakhiya huii h humse
Lakhoo ke Dil tuate dekhe
Isseliye darrti hu Sabse
Koi le na jaaye mujhe uss mnjrr se
Shayad isseliye darrti hu Ishq se
Kabhii socha krti thi yeh mnn me
Prr ab na jaane Kyun chlti bekhoof
Iss Ishq ke rang me-
Hrr khamoshi ka mtlb Haan nhii hota
Waise hii hrr riste ka Naam nhii hota
Naam de kr kyu jtaana duniya ko
Bss Usski aakhe pardhna kabhi
Dekhna waha Naam tumhara hooga-
Yeh baarish kii bundee
Janab goor se toh dekho isse
Naa jaane kitno ke aasu chupaaye issne
Inhee pyaar se nihaar ke toh dekho zara
Kitno kii aakho me Khushi ke aasuu
Laaye hoonge yeh
Sukoon se toh bheego issme
Saare gum dhool jaayenge
Yeh baarish ka jaadu-
Duniyaa ab nihaayti bewkoof lgtii h
Jisse Ishq ke ek bhii lafz ka Gyaan nhii
Usse Ishq ki baat krti h
Agar humse koi pucche toh
Kissi awaaz sunne ko
Usski muskurahat jeene
Agar tumhara Dil taras jaaye
Toh woh h ishq
-
Ek lafz likhu agar toh sau baar mittauu
Baat bhale hi saacche Dil ki yeh
Prr na jaane kyu tumkoo btaane se drrtaa
Yeh dil-
Laab shant ho agar toh
Dil ka shor kon sune
Kahne ko toh bohot kuch h
Per afsoos yeh lafz saath chord chle
Khuda bss itni Rehmat kre
Ki hrr rooz yeh do pal unke
Saath kaate-