najane kyun aisa lagta hai !
jaise skoon ka rasta in pahadon ki aur hai!
ya muzhko insq ho gya hai inke sath?
(ashu)-
hai koi mere pass bhi,
jo muzhko muzhse behtar janta hai,
jo mera hasta cehra dekh
mera gam pehchanta hai,
jo muzhko dant bhi lgata hai
or pyar bhi karta hai,
jo meri har khawaish puri karta hai,
hai mere pass,
mere maa baap jo mere liye sab karte hain
(ashu)-
Tum KHUSH hokar Muskurate Ho,
or Mai
tumhe khush dekh kar Muskurata hoon.!
dono batein kitni milti julti hain
or utni hi alag bhi hain
(ashu)-
aii waqt ,tu bhi thehrja thora,
ab agar tumhare sath vo bhi chle gye ,
to zindagi akeli ho jayegi.
(ashu)-
lagta hai kamzor hota ja raha hun mai..
jaha gussa aana cahiye,
vaha khamosh reh jata hun mai!
(ashu)-
aj fir se mai jeet gya!
magar ,
jo tuzhse haarne mai maza hai na!
vo kisi se jitne mai bhi nahi hai.
(ashu)-
ghadi pehenne ka bhi shonk nhi rha ab to,
kyunki ab waqt ne bhi saath dena chod diya h .-
hum dono ko jana ek hi jagh hai,
bas fark itna hai.
usse mazil jada pasand hai,
or muzhko us mazil ka sakfar.
(ashu)-