Khuda,Rukh is toofan ka tu mere sarr se modd de mere aansu na sahi meri saanso ko hi rok de
-
Facebook:ahsan hasan khan
Twitter:diamond__khan
Sararah:diamond khan
♨... read more
Hoti nahi sabki kismat buland itni
Naseeb wale hi likhte hai fasane zindagi ke-
Khilte the chaman mere watan me
Bahar-e-khushi bhi aati thi
Phir sitam hote rahe....mera gul-e-sita'n ujadta gaya
-
Mere yaar ab na kar sitam mujhpar
Ek muddat hui mujhko muskuraye hue-
Meri khamoshi pe tum sawal karte ho
Bhool gaye ho meri cheekho ko
Tum bhi saheb kamal karte ho-
Bade shaok se tum ye gao'n chhod gaye
Kahi na kahi apna bachpan bhi tum yahi chhod gaye
Lautoge jo phir kabhi apne gao'n to apna bachpan yaad karoge
Zindagi dobara jeene ki khuda se faryaad karoge-
Likhta hu mai khamoshi
Tum alfaaz dhoondhte rehte ho
Sunata hu mai dard
Tum koi ishqiya sher dhoondhte rehte ho-
Aaftaab me garmi itni ki use dekhe to samandar bhi sookh jata hai
Magar shaam hote hi wo bhi kahi doob jata hai
Apni taqat ki numaish na kar ae insaan
Khuda chah leta hai to na jane kitno ka guroor toot jata hai-
Wafaadaro se hi sirf kyu khafa hote hai log baar baar
bewafaao se kabhi koi kyu nahi roothta
Fakat aine hi kyu choor hai baar baar
Kabhi wo patthar kyu nahi toot'ta
-
Ho jati hai jab jang khatm
To tu apna sar kata'ta hai
Mazloomo ke shehr me tu kya apna dam dikhata hai
Hai dam tujhme to aa mukabla kar mujhse meri sarzami par
Un jangi jahazo pe baith kar hampe kya bam girata hai-