Rang-e- tayyari iss baar bhi fiki hai,
Sabr ki eidi harr ghar pahunch chuki hai.
Dilo ka mahol namm hai,
Iss eid bhi jashn ka jazba kamm hai.
#tyohaar-
Quotes and poem
Adhuri rahe zindagi,
Ye Kise manzoor hai.
Umar ki dorr lambi hai ya choti,
Yaha na kiska kasoor hai
Baatoge joh lamhee ek duje se,
khoobsurat yaadein sajegi.
Aakhein joh kal bandh hojaay meri,
Yaadon me hamesha saasein chalegi.
#spreadsmile-
Yaadon aur sapno ka bas yehi rishta dil samaj paata h,
Ke...
Kal ki khubsurat yaadein,
Aane wale kal k liye sapna banjaata h.
#umeed-
यूहीं..
रास्ते अलग होजाय जिनसे
वो ज़िन्दगी के उन चन लोगों में नहीं आते
कोशिशों का कारवां चला के देखा है हमने
वरना कैसे खुद से नज़रे मिला पाते
#उम्मीद-
Thokr khaakr unse...
Humne lagaai rakhi harr aas badal diye..
Khaas maante the ek zamaane me hum unhe..
Aaj humne hamare log khaas badal diye-
Barsaati raat me,
Doston ki yaad nikal aayi.
Baaton hi baaton me,
Unn anmol chehro ki baat nikal aayi.
Kuch tasveero ne kaha,
Kuch humne sunaayi.
Beeti, jeeti baatein,
sab bataai.
Yuhi..
voh hissaa zindagi ka,
Taazgi uski khota nahi.
Yuhi..
Harr kissa jisme hai saath unka,
Voh puraana hota nahi.
#yaaro ki yaari-
Hawa ka rukh,
Badal de koi..
Ye insaan ki haiwaaniyat ko,
Masal de koi..
Ab sabr ki salah,
Na de jaay koii..
Ab insaaniyat ko haraane wale,
Na kisse sunaay koi..
Ab insaaf ki awaaz uthne se pehle,
Insaaf dejaay koi..
Insaaf dejaay koi...
-