Affaf Arif   (its_Affaf)
94 Followers · 51 Following

Joined 30 August 2017


Joined 30 August 2017
10 MAY 2018 AT 0:36

Jo baatein pi gaya tha main,
Wo baatein khaa gayin mujhko...

-


4 MAY 2018 AT 11:37

Tera sukoon salamat rahe,
Magar jaana' kabhi to puchh
Mujhe chain kaise aata hai...

-


4 MAY 2018 AT 11:19

Bohot mazboot hoon mai_
Jaha marr jaana chahiye,
Waha hans leta hoon😊

-


3 MAY 2018 AT 0:02

Faslon ka ehsaas tab hua
Jab maine kaha,
"Theek hoon"
Aur usne maan liya...

-


2 MAY 2018 AT 23:28

Mohabbat to bohot saon se mile gi,
Tumhe yaad aayenge adaab mere..

-


28 APR 2018 AT 23:48

Jawab to tere har sawaal ka tha,
Lajawab mujhe tera lehja kar gaya.

-


23 APR 2018 AT 1:29

Kitna ajeeb rishta hai..
DiL takleef me hai, aur
Takleef dene wala DiL me...

-


24 MAR 2018 AT 23:02

Qadam Qadam par imtehan rakhti hai,
Zindagi tu mera kitna dhyaan rakhti hai.

-


23 MAR 2018 AT 22:59

Bhala mai zakhm khol kar dikhaun kyon?
Udaas hoon to hoon,
Tumhe bataun kyon...

-


23 MAR 2018 AT 22:37

Koi mila hi nahi
Jisko wafa dete
Har ek ne dukh diya
Kis kis ko saza dete.

-


Fetching Affaf Arif Quotes