Wo aashiq ko na kehte reh gye,
Lekin Hum to aashiqui ban baithe.
Wo chaand ko aashiq samajhte rhe,
Lekin Hum to aaftaab se hein aashiqui kar baithe.-
Yaadein Hain ye meri,
Inhein Meri hein rehne do!
Baatein Hain ye meri,
Inhein Meri hein rehne do!
Khwaab Hain ye aakhir Mere,
Tum samjhe Ni toh khwaish to rehne do!
Bas ek hein Dil Hai isse nacheez ka,
Kabhi ismein Jo aaye wo hein kr lene do!-
Ye Tadap Cheez kya hai aaj main byaan karta hoon,
Ki jinke liye main shaayar bna wo aaj bhi bekhabar baithe hain,
Tadap cheez ye hai ki shuru hui thi kisi ke Ishq se,
Ki Jinke liye wo ishq tha wo aaj mere fitoor se bne baithe hain!-
In lafzon ki gehraiyaan ni samjhoge kya tum?
Sirf lafz nhi iss nacheez ka ikhlaas-e-fitoor hai ye
Iss iklaas ki gehraiyaan bhi nhi samjhoge kya tum?
Sirf lafz nhi, iss fankaar ka elaan-e-mohabbat hai ye-
Ye kaisa guroor hai tera o zaalim,
Jo pehli dafa jo teri aankhon mein dekha toh tune deewana bna diya,
Ye kaisi ada hai teri o zaalim,
Jo pehli dafa teri muskate noor ko dekha toh tune aashiq bna diya!-
Plucked from the bosom of my mother,
Bruised, beaten and left out in the sun,
Resteained In whites and caged in a box,
A release I seek, with a flame i shall meet,
And for naught but the devilish pleasures of the humane,
Fraught with loss and riddled with pain,
I burn away at the whims of men,
I won't dish out! I won't complain,
But with a dying breath an answer I wish to claim
"Can you tell me my dear, why am I the killer?"-
Wo Shaam bhi kya dhali jahan jikr na ho aashiq-e-dil ka,
Wo raat bhi kya guzri jahan fikr na ho aashiq tere Dil ka,
Hum toh uss jashn ke kaafir hain yaaron,
jahan subah na ho bin dedaar kre, E zaalim tere Noor ka.-
Tumhari ye khamoshiyaan kai lafzon se kahin zyada keh jaati hai,
lekin hum toh uss tarranum ke deedar mein besabr baithe hain jo tumhari ek muskaan mein chipi humein yoon fida kar jaati hai-