Kabhi chalte chalte bichhad jaaye hum
To yaad kar lena aye dost
Ho sakta hai safar mei na mil paaye hum
Magar manzil par dono saath zaroor milenge-
Dushmano se kya lena mujhe
Apne kare agar waar mujh par
Jawab dete dete thak gaya hu mai
Khud mei ek sawaal bann gaya hu mai-
Kuch khwaahishon ko tod deta hu
Kuch rishte chhod deta hu
Ye raasta kathin hai aur uspe mera sambhalna
Kai dafa bach kar sikha hai maine aise aag pe chalna
Zaroori hai har raaste ka ek more ho
Warna bhul jaate hai log k kab hai rukna aur kab tak hai chalna-
Yaha laajawab hai kuch log
Kamaal karte hai
Hum mohabbat bhi kare
Aur humse hi sawaal karte hai-
Kho du mai tujhe to bhi kya gham hai
Paa kar bhi tujhe khush kaha hum hai
Ye aandhi toofaan to aate jate rahenge
Hawao ka bhala raasta badalta kaun hai
Aadat si hai bas islye Zikr teri fikr tera karta hu
Warna aaj kal kisiko puchta kaun hai-
Jo bachi hi nahi mujhme
Aap uski talaash karte ho
Mohtarma aap ek zinda laash mei
Saans ki talaash karte ho…-
Zara socho tumhe paa lena kitna asaan hai Aditya
Log tumhe khone se darte hi nahi-
Jo hunar rakhte hai mohabbat karne ka
Unhe mohabbat ata nahi hota
Jazbaaton k bazaar mei
Khamokha dil bech aate hai apna
Aur log kehte hai unhe mohabbat ka pata nahi hota-
Tumhe chunna meri galti nahi thi
Bas Tumhe haasil kar lene k guroor ne sataya hai mujhe-
Fareb rishte bhi badi sacchai se nibhaate hai log
Pehle apna banaate hai
Aur phir tumhe aazmaate hai log-