Samjhaute majboori mei hote hai
Mohabbat mei nahi-
Hum dono sath aye
Ek kahani bani
Hum dono alag hue
Teen kahaniya bani
Ek teri kahani jo tujhe samajh ayi
Ek meri kahani jo mujhe samajh ayi
Aur ek teesri Ankahi kahani
Jo bat kar lete zara
To dono ko samajh ajati
-
Vo hume chor kar khush hai
To shikayat kaisi...
Ab Agar hum unhe khush b na kar sake
To mohabbat kaisi
Copied-
Paisa khuda nahi hota
Par khuda kasam
Khuda se kam nahi hota
Copied but true..-
Aise sathi ke Jane ka kya gam..
Jiske pas dil ki baat samajhne wala
Dil hi na ho...-
Jo khud ke ashiyane ko
Jalte dekh chuke hote hai....
Vo dusre ke ghar ko
Zarur bachate hai...-
Hume hamesha Kehthe the vo
Ki hm nahi samajhte....
Aj vo khud
Humari samajh ko
Sahi sabit kar rahe hai....-
Bewajah
Bewafao ko yad kia hai...
Galat logo par
Bht Waqt barbad kia hai..-
Agar vo puch le humse...
Tumhe kis bat ka gam hai...
To fir kis bat ka gam hai...
Agar vo puchle humse...-
Unhone kaha
Tum bht pareshan the
Islie tumse kuch kaha nahi...
Vo bat alag hai ki
Pareshani ki vajah
Nahi puchi gayi....-