Aditi Pandey  
32 Followers · 7 Following

Joined 19 November 2017


Joined 19 November 2017
19 APR 2021 AT 1:59

Aaj fir aakhon k kor ko gila hone se nahi rok payi....
Sab kuch khatm kar ke b kch to nahi khatm kr payi...
har bar vahi kahani...
Umeed na rkhne k bad b umeed k tootne ke dard ko kaabu me nahi kar payi ..
aaj fir aakhon k kor ko gila hone se nahi rok payi.

-


14 MAR 2019 AT 0:53

Kabhi kisi b chiz ya kisi bhi bat par guroor mat karna qk kisi ko ni pta us guroor ki umar kitni hai....ho skta hai vo guroor ni bhram ho...jiske tootne pr aap khud toot jao....

-


10 MAR 2019 AT 2:19

Bahut si batein hoti hai man me
Jo bahar nahi nikal pati
Ulajh kr reh jata hai man pr bol ni pate hum,
Bole bhi kaise jab pata hai na un baton ko sunne vala koi hai na hi samajhne vala
Sab hasta hua chehra dekhna pasand krte hai jaha apni takleefe bayaan krne lag jao log door jaane ke bahane dhoondne lag jate hai ya baton ki disha ko badal dete hai....or fir hum vahi akar atak jate hai jaha hamare man ki batein man me hi reh jati hai...man bhari hi reh jata hai...unme se na to batein nikal pati hai na uljhan....or fir se hum apna vahi hasta hua chehra lekr duniya ke samne khade ho jate hai or duniya ko vahi dikhate hai jo use dekhna pasand hai.

-


20 OCT 2018 AT 1:31

"PYAR" or "HAAR" ab ek hi shabd lagte hai mujhe....qk aajtak Maine pyar me logo ko sirf harte hue dekha hai..or vo log sirf harte ni hai toot jate hai...jeete hai apno k liye unki khushi k liye sb kuch krte hai pr kho dete hai khud ko...jeevan bhar ke liye ...ye pyar aise andhkaar me dhakel deta hai unhe k fir na to unhe vha se koi nikaal pata hai na hi vo khud kbhi vha se nikal pate hai...

-


17 OCT 2018 AT 23:55

"GALTI" har insan se har roz hoti hai
Jisse kbhi koi kaam kharab ho jata hai or kbhi koi rishta.....kaam to koshish krk wapis se thik ho jate hai....pr kch rishte kch is trh kharab ho jate hai jise hm chahkr b sahi ni kr pate kyuki jb tk hum us rishte ki ahmiyat or gehrai ko smjh pate hai tb tak "GALTI" se bht der ho chuki hoti hai....

-


24 SEP 2018 AT 19:58

Zindagi ka ek usool hai jo vo hmesha lekar chalti hai, jab puri tarah yakeen ho jaye ke ab sb ekdum perfect hai tabhi palatati hai, agar kisi bhi chiz ko puri shiddat se chach lo to vo kabhi nahi milti hai, or iski yahi ada insan ko andar tak tod kar rakh deti hai, fir baki ki bachi hui zindagi khud ko jodne ki koshish me nikalti hai....

-


24 JUL 2018 AT 1:46

Kya socha tha Kya ho raha..
zindangi kuch yu ulajh gyi hai kch b smjh ni aa raha...
har roz ek khwab toot raha
ab to khwab dekhne me b dar sa lag raha.

-


9 FEB 2018 AT 23:57

Sometimes i feel helpless and i don't understand the motive of my existence on earth.

-


5 FEB 2018 AT 23:03

Hurting me was an easy task long ago...
Now it's an impossible task because i am strong enough to handle myself and no one can hurt me as i have stopped expecting anything from anyone except my parents.

-


30 JAN 2018 AT 0:10

Sbme khokr dekh liya ab khud me khona chahti hu
Sbki khusi or gamo ko smjh liya ab khud ki khusi or gam ko smjhna chahti hu
Sbki icchaon k hisab se chalkar dekh liya ab khud ki khwahishon ko pura krna chahti hu
Sbke liye jee kar dekh liya ab khud ke liye jeena chahti hu
Pta ni mumkin ho payega k ni par ab mai khudgarz hona chahti hu..


-


Fetching Aditi Pandey Quotes