Aankhein Mund na bharosa karo kisi pe,
Harr chehre ke pichhe chhipi hoti ek alag sachchai hai.
Harr Waqt deti jo sath tumhara,
Per hath chhor de andhere mein wo tumhari khud ki hi parchhai hai.-
Chhote Chhote kai armaan ho,
Badi si ho ummeedein,
Aage tab bas khusiyan hain,
Jo seh le ye waqti takleefein.
Dhip Dhip kar aag Mein banta sona,
Mukut wa gale ja haar.
Tu bhi Dhip apne path per,
Lagan se bada nahi koi hathiyar.
Dridhta aur samarpan ke sath,
Ho Mann mein vishwas,
Nahi tab kuchh namumkin lage,
Manjil dikhne lagti hai paas.-
Kabhi sagar si gahrai kabhi pahaad hai,
Kabhi savera kabhi andhkar hai,
Kabhi patjhar kabhi bahaar hai,
Jindagi ki apni raftaar hai,
Kabhi jeet hai kabhi haar hai.-
Jubaan pe hai khamosi,
Mann mein utha toofan hai.
Labj nahi mil rahe jajbaaton ko
Naa Jaane dil kyu pareshan hai.-
Jo apna hota hai wo harr halat mein sath hota hai,
Per aaj kal kon apna hota hai aur kon sath hota hai?
Khud ki baaton ko khud ka mann nhi samajh pata,
Fir jab koi aur na samjhe toh dil pe q aghat hota hai?-
समुंदर सी शान्ति, लहरों सा शोर है,
ना जाने किस भँवर में फंसा, मन मुड़ा किस ओर है.-
Yeh kaise doraahe pe jindagi hai khari,
Aage naala toh peechhe khai hai.
Kis raah ko jaaye bandhu,
Kaisi Yeh duvidha aayi hai.
Manjil dono apna sa laage,
Fir aankhe kyun bhar aayi hai?
Uljhan kaisi hai yeh,
Jo sab ho kar bhi tanhai hai.-
Khilona nahi main, jo khel khel mein tod diya,
Kagaj ka koi tukda nahi jo madod mujhe kahi fenk diya.
Kisi ka izzat, abhiman hoon main,
Ladki hoon Insaan hoon main.
Na pita per bojh, na bhai ka darr,
Duniya main aayi main aatm-nirbhar.
Ab jurm kisi ka nahi sahungi,
Har chuppi ka jawab hoon main,
Ladki hoon Insaan hoon main.
Samay alag the per shikaar ek,
Samaj k the thikedar anek,
Per sabne chuppi tham liya,
Jab bhi kisi nibhaya ko tad tad kiya.
Yeh Baat nayi hai per nahi,
Pahle bhi hota tha yahi.
Koi naa aaya aage badh jab bhari sabha mein,
Draupadi ka vastra utar diya.
Harr nibhaya ki dabi awaj hoon main,
Draupadi ka Maan hoon main
Ladki hoon Insaan hoon main.
Jis samaj ne sita ko vanvash diya,
Anarkali ko karawash diya,
Uss samaj k aage lalkar hoon main,
Ladki hoon, Insaan hoon main.
Bas bahut hua, ab aur na sahungi
Roke na rukungi, haq k liye apne ladungi.
Mom ki bani chattan hoon main,
Ladki hoon Insaan hoon main.
Lakshmi jo hoon, toh durga bhi main,
Saraswati swaroopa bhi main.
Sita ka samman hoon main,
Manikarnika ki shaan hoon main,
Kalpana ki bhari udaan hoon main,
Ladki hoon Insaan hoon main.-
Thin or fat,
I am a woman.
Black or fair,
I am a woman
Short or tall,
I am a woman.
Thinker or dreamer,
I am a woman.
Household or career freak,
I am a woman.
Simple or difficult,
I am a woman
Shy or bold,
I am a woman.
You are a woman,
It's your call, the way you want.
Nothing is impossible,
There is nothing you can't.-
थकी हूँ पर हारी नहीं,
खामोश हूँ, उदास नहीं
जिंदगी है,
हार जीत का खेल है,
डर तो तब होता जब,
पास हो कोई आश नहीं.-