Adit Jain   (Adit Jain (Aj))
7 Followers · 13 Following

read more
Joined 19 February 2022


read more
Joined 19 February 2022
28 APR AT 0:54

Mujhe humesha kehti rehti hai, ki wo mere saath khadi hai,
Maine khud bhi dekha hai ye, kayi baar mere liye akele ladi hai,
Aur khushnaseeb maanta hoon main khud ko, ye sochkar ki,
Upar waale ne mujhe iss zindagi mein di, ek behen badi hai...

-


28 APR AT 0:33

Wo meri lambi baatein, sab kisse, kahaaniyan, dukh-dard sunti aur sehen karti hai,
Jo iss duniya mein koi bhi nahi karta mere liye kabhi, wo bass meri behen karti hai....

-


19 APR AT 0:41

Aaj bhi mujhe yaad hai wo din,
Jab lekar chehra gumnaam sa,
Aakar baitha baaju mein mere,
Ek ladka bilkul anjaan sa.
Uss waqt ye socha bhi na tha,
Hum itne khaas dost ban jaayenge,
Ki ek doosre ki ek awaaz par,
Bass daude chale aayenge.
Jiski topi uski pehchaan hai,
Jispe likha ek shabd sultaan hai,
Chalta wo shaan se jaise ki,
Wo hi shehenshah -e- hindustan hai.
Uske dost to hain kayi magar,
Hum zara kuch khaas hain,
Dil dhadakte humaare saath mein,
Saath chalti humaari saans hai.
Hum agar mar bhi gaye to yaad rakhna,
Paidaa honge kahin do sher fir,
Jinka jazbaa hoga kuch aisa ki,
Saari duniya rakhegi unke kadmon mein sir...

-


17 APR AT 15:24

Mohabbat kabhi hadd se zyada, to kabhi kam karti hai,
Dekar zakhm dil par mere, fir khud hi marham karti hai,
Aur bitaakar kuch haseen pal mere saath zindagi mein,
Mujhse bichhadne ki baat karke, ye ankhein nam karti hai...

-


10 APR AT 16:18

Ab wo aankhein aur wo baatein sab bematlab si lagti hain,
Ab to apni har ek cheez bhi, gairon ki di hui lagti hai.
Dekha na karti thi jo kabhi, kisi aur ko nazar utha ke bhi,
Aaj wahi nazrein humein, kisi aur ki talaash mein lagti hain.
Isliye use chhod dene mein hi, ab humaari bhalaayi hai,
Warna aisi zindagi se to humein, maut hi acchi lagti hai....

-


10 APR AT 13:01

Mohabaat ke aasmaan mein aaj firse, ek nayaab taara kho gaya,
Jise chaha tha humne beintehaa, wahi shaqs aaj tumhara ho gaya.
Aaj se meri saari khushiyaan tumhare hisse ho gayin,
Aaj se tumhara saara dard-o-gum humara ho gaya.
Ae khuda ab bass maut ka intezaar rahega humein,
Ye zindagi ka jo bhi tha hisaab, ab saara ho gaya....

-


8 APR AT 23:47

Zara gaur se suno sab aur humesha yaad rakhna ye baat humaari,
Zabardasti nahi hoti dosti, bas apne aap hi chadti hai ye khumaari,
Ek doosre mein jaan basti hai aur ek doosre ka sahara hote hain,
Isliye ye duaa hai meri, ki humesha aabaad rahe ye dosti tumhaari...

-


4 APR AT 23:52

Ki ek waqt tha jab hume bhi, koi apni har ek baat bataya karta tha,
Humse roothke fir kuch na kehna, iss tarah se hume sataya karta tha,
Kisi aur ki tareef par ya thoda qareeb jaane pe bhi gussa ho jaana,
Kuch kahe bina hi hum par, wo kuch iss tarah se haq jataya karta tha...

-


1 APR AT 23:22

Itni baat karke bhi tujhse, main bass tujhse hi ek baat ko tarasta hoon,
Iss duniya ki bheed mein main, bass tujhse ek mulaqaat ko tarasta hoon.
Sabke saath hokar bhi main, bass tere hi ek saath ko tarasta hoon,
Iss duniya ki bheed mein main, bass tujhse ek mulaqaat ko tarasta hoon.
Jo humare beech hua karte the kabhi, bass unhi haalat ko tarasta hoon,
Iss duniya ki bheed mein main, bass tujhse ek mulaqaat ko tarasta hoon.
Jo tere dil mein mere liye hua karte the, bass unhi jazbaat ko tarasta hoon,
Iss duniya ki bheed mein main, bass tujhse ek mulaqaat ko tarasta hoon.
Apne iss haanth mein main, bas tere hi ek haanth ko tarasta hoon,
Iss duniya ki bheed mein main, bass tujhse ek mulaqaat ko tarasta hoon.
Ki humare darmiyaan jab koi nahi hoga, main aisi ek raat ko tarasta hoon,
Iss duniya ki bheed mein main, bass tujhse ek mulaqaat ko tarasta hoon....

-


28 MAR AT 1:43

Sooni sii sadak ke usi chauraahe par, main aaj bhi ruk kar tera intezaar karta hoon,
Main pagal sa ladka hoon tu kehti thi, so main aaj bhi tujhse beintehaa pyaar karta hoon.

Jab kabhi zikr hota hai tera ya sawaal hota hai mujhse, to main bass inkaar karta hoon,
Main pagal sa ladka hoon tu kehti thi, so main aaj bhi tujhse beintehaa pyaar karta hoon.

Tujhse mil nahi sakta to kya hua, apne dil ki baatein tumhari tasveer ko izhaar karta hoon,
Main pagal sa ladka hoon tu kehti thi, so main aaj bhi tujhse beintehaa pyaar karta hoon.

Na hi nafa hai aur na nuksaan, na jaane fir bhi kyon ye mohabbat ka karobaar karta hoon,
Main pagal sa ladka hoon tu kehti thi, so main aaj bhi tujhse beintehaa pyaar karta hoon.

Tum nahi ho sakti meri ye jaankar bhi, bas tujhe hi paane ki arzoo har baar karta hoon,
Main pagal sa ladka hoon tu kehti thi, so main aaj bhi tujhse beintehaa pyaar karta hoon....

-


Fetching Adit Jain Quotes