Tha Talluq khamoshi ka roohaniyat se...
Log samjhe magroor hu mai...
Jo samjhe mein wo tha nahi, jo tha wo samjhe nahi...
Mai khamoshi se aashna hu iss mein mera koi kasoor nahi...
Wo kuch bhi samjhe mujhe iss par mera koi zor nahi...-
Wo rehmat thi...
Waqt ne usey zehmat bana diya...
Kya duniya mein aakar usne koi gunah kiya...?
Logo ke farq ne usey ehsaas-e-jurm mein daal diya...
Dunyawi usoolo'n ne usey bagawat par utar diya...
Ummedon ke bojh tale'n kyu usko dafna diya...?
Qurbani ka wahid haqdaar kyu usko bana diya...?
Jo na rakha pa'ss tumne uske ehsaaso'n ka toh phir usne bhi tumhe apne dil se nikal diya...-
Jab asbab ko guroor ho jaye toh ALLAH ta'ala dena band nahi karte bas asbab badal dete hai...
-
Teri rehmaton ko loota nashukri ney aur tu kehta hai khuda meherban nahi
-
Utara tha qalam-e-ilahi ko rooh mein Iqbal ne...
Isliye barasti thi roohaniyat Allama ke qalam se...-
Jalta raha wo dhoop mein chao'n ki talash mein...
Karta raha wo joostju kabhi mere liye toh kabhi tere liye...-
Bahaduri ke tamghe rakhe hai ALLAH ne unke ayzaaz mein...
Jo jhukatey nahi sar zalimon ke zulm ke istaqbaal mein...-