Chalo chod bhi do ab ruthna
Aao baitho kuch baat karte hai
Mana ki sari galti thi meri,
Jo phir hui udaas tum
Dil dukhaya maine tumhara
Ho gayi phir udaas tum
Mana log bahut sath hai aapke
Par mai to aapke bina akela hu
Chalo chod bhi do ab gussa karna
Maafi de do ab hamko ji
Khush to mai bhi nahi hu akele,
Tumko naraj kar ke
Rota to mai bhi hu na akele
Tumko yaad kar ke
Aakhir kab tak chupaau tumse aanshu apne
Chalo phir se apna samjh kar maaf kar do
Chalo chod bhi do ab ruthna
-