If there was a smile in this world
A smile that could make
The moon turn in shame
If there were sparkles in the eyes
The eyes that could make
The stars grunt in shame.-
Mana aankhon me thodi nami bhi hogi
Tumhare na hone ki hume kami bhi hogi
Par wo fir alag baat bhi hogi
Sanam hamare andaaz mein
Jab tumhe hum yaad karenge
Ae Shathi shab-E-barat mein-
Mana aankhon me thodi nami bhi hogi
Tumhare na hone ki hume kami bhi hogi
Par wo fir alag baat bhi hogi
Sanam hamare andaaz mein
Jab tumhe hum yaad karenge
Ae Shathi shab-E-barat mein-
Bas chalte jaata hoon main
Na jaane kis cheez ki talash mein
Khushiya kaafi jama kr li hai maine
Par sayad sukoon nahi hai paas mein
-
To kal jab bhor ho
Tumhari duniya
Jab achanak jhakjhor ho
Jab sooraj ki garmi
Tumhare badan ko tamtama de
Jab sukoon ki chahat
Tumhe pagal bana de
Tum bas aankhein khol
Manjil ki taraf chal padna
Khwaabo ko sach karne
Tum aage bas badh chalna
-
देखकर तुमको यकीं होता है
कोई इतना भी हसीं होता है
देख पाते हैं कहाँ हम तुमको
दिल कहीं होश कहीं होता है
- Jagjit Singh-
Laga raha main auro sa hone me
Bekhabar hoke khud ko hi khone me
Jo mila kabhi usse dil na laga
Jo na raha kabhi usse ji na bhara
Daudta raha main khwaabon ko pakadne me
Bekhabar khud ko bandisho me jakarne me
-
Aaj baarish me bheega
To wo zamana yaad aaya
Fir tum yaad aayi
Aur hamara wo afsana yaad aaya
Fir yaad aaye haseen wo manjar
Tumhe poori raat jagane ka wo bahana yaad aaya
Yaad aayi tumhari aankhon mein hume yu kho jaana
Fir tumhara baby tum dusre caste ke ho kehke muqar jaana yaad aaya
-
Ab unse baat nhi hogi
Fir koi mulaqat nhi hogi
Rahenge door ab kahi andhero me hum
Roshni me ab unki talash nhi hogi
-
Ek khubsurat kavita likhne ki chah me
Mai bhatakta raha dar badar
Man me bas yahi ummid liye
Ki us haseena ki kabhi mil jayegi koi khabar
Jammu dhundha keral dhunda
Dhunda aaya main kona kona seher seher
Wo pardanasheen fir mili mujhe mere ghar
Jaha kabhi na pehle gyi thi sasur meri nazar
Hathon me usne thaam rakhi thi jhadu
Uski nazre humpe dha rhi thi keher
Wo sayad gusse me gaaliya de rhi thi mujhe
Meri to uske muskan se na hat rhi thi nazar-