लोग कहते हैं कि इस संसार में सबसे बड़ी सुपर पावर भगवान है पर मैं कहता हूं कि सबसे बड़ी सुपर पावर कर्म है क्योंकि भगवान तो हमारे माता पिता के समान हमारे अच्छे कर्मों में हमारा साथ देते हैं और हमारे बुरे कर्मों को माफ कर दे देते है परंतु कर्म एक न्याय की ऊर्जा है जो अपने करता की शक्ल और पता हमेशा याद रखती है किसी के साथ अच्छा करोगे तुम्हारे साथ अच्छा होगा किसी के साथ बुरा करोगे तुम्हारे साथ बुरा होगा प्यार दोगे प्यार मिलेगा नफरत करोगे नफरत मिलेगी धोखा करोगे तो धोखा ही मिलेगा यह इस संसार का नियम है अर्थात जो दोगे वही दोगुना होकर मिलेगा आज नहीं तो कल परंतु मिलेगा जरूर !!
-
जिन्हें निभाना होता है वो बिना जताए ही निभा जाते हैं ,
और जिन्हें सिर्फ जताना होता है वो सारा वक्त जताने में ही गुजार देते हैं...!!!-
जिन लोगों ने आपसे ज्यादा दिवाली देखी हो
उन लोगों को कभी बेवकूफ मत समझिए ,
क्योंकि आपके बोले गए झूठ के पीछे की हकीकत
वो पहले से ही जानते हैं...!!!
-
" एक तूफान सा है मन में जो बाहर भी नहीं आता और शांत भी नहीं होता "
( please read the caption )-
Mujhe nahi maaloom tumhari uljhane kya hai ,
Par tum mujhe yun Maayus achi nahi lagti
Tum jo khush nahi ho to duniya meri be-rang si lagti hai ,
Ke tum yun gum-sum na baitha karo meri jaan ,
Tumhari khamoshi zeher si mere seene mein hai chubhti
Khol diya karo apni mann ki uljhano ki giraah mere aage ,
ki tumhari ye udaasi mujhse nahi sahi jati
Main har wo koshish karunga tumhari har baat ko samjhne ki or tumhari uljhano ko dur karne ki ,
Bus tum waada karo hamesha
Ki chehre par hamesha apne muskurahat ber-karar rakhogi
Kyunki ,
Tumhari muskurahat ke bina
ye zindagi , zindagi si nahi lagti !!
*Tum muskurati raha karo bas*🌸♥️-
Waada hai mera tumse ki tumhe har roz apne pyar ka ehsaas dilaunga ,
Tum nahi bhi jataogi koi baat to main tumhari aankhon ke jariye khud hi samjh jaunga ,
Waada karta hu tumse ki tumhare sukh dukh mein hamesha tumhare sath khada main rahunga,
Kabhi tumhari aankhon mein aansu nahi aane dunga ,
Waada karta hu tumse har pal apni zindagi ka tumhare sath saajha main karunga ,
Tumhari pasand na pasand ka khayal main rakhunga ,
Waada karta hu tumse ki kabhi tumhe udaas nai hone dungaa apni bachkani baaton se tumhe behadd hasaya karunga ,
Waada karta hu tumse tumhe har waqt main suna karunga ,
tumhari baatein saari maana main karungaa ,
Waada karta hu tumse ki jab bhi tum gussa hojaya karogi manaya main karunga ,
Tumhari choti choti baaton ka dhyan main rakha karunga ,
Tum bus mera haath hamesha thame rakhna main waada karta hu tumse tumhe apne se door kabhi kahin jane nahi dunga ,
Aur apne pyaar mein kabhi kami aane nahi dunga,
Waada karta hu main har din or jyada pyaar sirf or sirf tumhi se karunga....!!!
- AD SHARMA
-
Wo baap hi hota hai ,
Jo apna dard seene mein chupa kar
apki khushi ke liye chehre pe
muskaan saja kar rakhta hai ,
Wo baap hi hota hai ,
Jo khoon pasina ek kar
din-raat sirf humare liye mehnat karta hai ,
Wo baap hi hota hai ,
Jo bin kahe mann ki
sab pareshani padh leta hai ,
Wo baap hi hota hai ,
Jo humare liye
har paristithi se lad jata hai ,
Wo baap hi hota hai ,
Jo sahi galat ka matlab samjhata hai ,
Wo baap hi hota hai ,
Jo sikhlata hai ki is duniya
mein kaise apna wajood banana hai ,
Wo baap hi hota hai ,
Jo shaan se jeena sikhata hai ,
Wo baap hi hota hai ,
Jo har dard-e-takleef mein saath khada rehta hai ,
Wo baap hi hota hai ,
Jo umar bhar humari dhaal ban kar raksha karta hai ,
Wo baap hi hota hai ,
Jo kehta hai ki " tum chinta mat karo ",
" tumhari chinta main kar raha hu "
Wo baap hi hota hai ,
Jo apne bacho ka asli COMRADE hota hai ..!!!
- AD SHARMA
-
Ye insaan bhi bht ajeeb hota hai ,
Mann ki girah ko mann mein rakh kar
Chehre par muskaan saja kar rakhta hai ,
Kisi ko kaano kaan khabar na ho uske dukh ki islie
bahar se dikhawati khush wo hota hai ,
Par andar hi andar dukh ke aansu wo rota hai ,
Ye insaan bhi bht ajeeb hota hai ,
Khushiyan to sabke saath manata hai ,
Par apne dukh-e-dard batane se ye darta hai ,
Logo ke beech reh kar bhi khud ko hamesha akela wo paata hai ,
Jab insaan akela hota hai to har din wo marta hai ,
Daulat shahorat se bhi kuch nahi ho pata hai ,
Apnapan paane ke liye apno se hi wo ladta hai ,
Jo himmat se kaam leta hai wo zindagi jee jata hai ,
Or jo himmat haar hatash hota hai wo zindagi se haar maan leta hai...!!!-
Khanabadhosh si hogayi hai ye zindagi
Na aaj ka pata hai na kal ka hai thikana ,
Samay hai ki raet ki tarah fisalta ja raha hai
Kisi ka acha beet raha hai to kisi ka bura ,
Koi ghar mein reh reh kar pareshan hai
to koi ghar jane ki jaddojahad mein hai laga,
Koi ghar mein alag alag pakwan ke lutf utha raha hai
to koi ek waqt ki roti mil jaye bus is umeed mein hai jee raha ,
Koi ghar mein kasrat kar shareer bana raha hai
to koi ghar jane ke liye paidal hi meelo hai chal pada,
Koi ghar se kaam kar raha hai
to kisi ko kaam se hi hai nikala ja raha,
Corona khatam hone ke bajaye badhta hi ja raha hai
Kaisa ye sankat dharti par hai chha raha....!!!
- A D S H A R M A
-
Meri khamoshi sunlo na maa ,
Main keh nahi pata hu jyada kuch tujhse ,
Cheeze rakhta hu mann mein apne ,
Kehne se main sharmata hu main maa ,
Magar pyaar bahot karta hu tujhse ,
Ladta hu gussa bhi karta hu tujhpar ,
Par fikr teri sabse jyada karta hu maa ,
Meri khamoshi sunlo na maa ,
Main keh nahi pata hu jyada kuch tujhse ,
Mera hath hamesha thama hai tune ,
Is duniya se mujhe milaya hai tune ,
Girne se mujhe bachaya hai tune ,
Sahi galat ka farak samjhaya hai tune ,
Galti karne par daanta or maara bhi hai tune ,
Beshaq agle pal gale lagaya bhi hai tune ,
Dukh takleef khud jhel kar mujhe hamesha hasaya hai tune ,
Apni parvarish se seench kar mujhe ek accha insaan banaya tune ,
Bure waqt mein mera sath hamesha diya hai tune ,
Apne aanchal ki chhaya mein mujhe mahfooz hamesha rakha hai tune ,
Meri khamoshi sunlo na maa ,
Main keh nai pata hu jyada kuch tujhse ,
Tere daman ki khushboo deti hai mujhe itna sukoon ,
Ki Pass aa kar tere meri saari takleefe hojati hai door ,
Tere bin maa nahi hai mera koi mol ,
Tu hi mere liye hai is duniya mein sabse anmol ,
Teri mamta ka kabhi bhi nahi chuka sakta main ehsaasn ,
Bus itna keh sakta hu ki tu hi hai is dharti par mera bhagwaan.....!!!
-