Manushya hona mera bhagya thaa,
Parantu Krishna bhakt hona mera sobhagya hai...!!-
Hum nahi kehte kisi se ki,
hume zindagi ka hissa banaye rakhna...!
Bas dur reh kar bhi duriyan na lage,
Itna sa rishta banaye rakhna...!!-
Kitna mushkil hai, zindagi ka ye Safar...!
Jimedariyon ne marna haram kiya,,
aur apno ne jeena....!!-
Bina aapke dil ko, jahan bhi lagaya...!
Bas dukh hi paakar, phir aap tak laut aaya...!!-
Kish kadar mohabbat ka junoon,
"iss" deewane mein hai...!!
Abhi kal hi zamanat hoyi thii,,
aaj phir "giraft" mein hai...!!-
'Kahan' Puri hoti hai,
dil ki saari khwahishen...!😓😓
;
Ki baarish bhi ho,, yaar bhi ho,,
aur pass bhi ho...!!💔💔-
Baat zid ki thii...!
usse mujhse dur jaana thaa,
Aur mujhe uske kareeb...!!
Baat zid ki thii...!
wo chali gayi,
Aur maine rakh liya ;
usko apni nazmo mein sanjokar...!!l-
Jo sukoon teri ibadat mein hai,
wo kahan kisi ko paane mein hai...!!-
Mohabbat rabb se ho to,
sukoon deti hai...
Na fikr judaai ka, na khtra bewafai ka...-