Tumhari manzil keliye ek humsafar hi sahi,
Tumhari unn aasuon ka humdard hi sahi,
Tumhari har khwaayishome ek umeed hi sahi,
Tumhari niji kitaabme ek paana hi sahi,
Tumhari har paagalpanme shaamil ek paagal hi sahi,
Tumhari kavitaka ek pankti hi sahi,
Ab jab tum mojud nahi, tumhari yaade hi sahi....-
To stay tuned for more quotes, you can follow me ... read more
SAWAL (Vol-1)
Iss soch se heraan sab,
Azaad yeh insaan kab,
Paabandi lagaayi khudpe, yeh jung hum jeet lenge kya,
Aage aaanewale waqt me isse itihaasme padhenge kya,
Hatyaare pakde dhool ab iski zaroorat hogi kya,
Jab goliyaan rahe hazaron, unmese koi sahi dawa hogi kya,
Iss soch se heraan sab,
Azaad yeh insaan kab,
Bhaagti hui zindagi me sara sheher raha stabdh,
Jaanwar heraan, unka purana ghar kyun nishabdh,
Ghar ki dehleez jo lakshman rekha bana hai,
Theek 9 baje vaanar sena ko ab lanka paar karaana hai,
Inn sabke beech me ek sawal utraha hai,
Insaan ka kya kasaoor ki sirf woh bhugat raha hai?
Iss soch se heraan sab,
Azaad yeh insaan kab,
Ummeed pe duniya kayam hoga, Hosale toh buland hogi,
Kunkhaar jaanwar ko humne nahi baksha, yeh mahamaari kya baat hogi,
Phir bhi, Iss soch se heraan sab,
Azaad yeh insaan kab......-
Sab jaankar bhi sabse ajaan kyun,
Mojud iss bheedme, phir bhi sab akele kyun,
Nadaan sa dil, khayali shaatir kyun,
Khayolki shorme ab itna sannata kyun,
Musibat jo dastak deti hai, aajkal itni muskuraati kyun,
Zeher ki talaab me lafz ab itna mitha kyun,
Na soya hua sheher, sabke sapnome andhera kyun,
Nayaabsa yeh duniya, inn sawal ka na koi jawaab kyun,
Nayaabsa yeh duniya, inn sawal ka na koi jawaab kyun...?-
Teri ore aane ki koshish, mera intezaar na karna,
Tujhe azmaana chaahu, mujhe ijaazat na dena,
Tumse mulaakat kileye har kadam, mujhe raasta mat dikhana,
Tum mere naksheme likhi manzil, me ek ajaan musaafir-
Chand ki tareefe bohot, leikin woh chand isse waaqif kaha,
Hamare kilaaf bhi faryaade bohot, lekin hum uske munasib kaha-
Khayaal
Ab khaamosh jo hai hum dono,
Ek dusare se khete ki 'tum pehle bolo',
Darte bhi, ki agle pal me, tum hamari dil na todo,
Agar dil toota bhi toh kya, tumhari pyaari baatose unhe jodo.-
Khayaal
Kaafi waqt beet chuka, kya karti ho hame yaad ?
Ab pyaar hi na sahi, hamare khilaaf hoga koi fariyaad.-