Udne ki aasha liye yeh dil fir raha hai
Hosla bhi hai , zajba bhi hai
Kuch karna hai, main karke rahunga
Fir kaisi vidambanao se ye dil ghir raha hai
Kaid karlu yeh zameen yeh aasman
Hai meri mutthi itni badi
Ghum lu yeh sansaar ye jag saara
Par kyu hai itni chinotiyaan khadi
Kyu ye dil itna dar raha hai
Udne ki aasha liye ye dil fir raha hai
Maana ki hai sarfira, par ye dil nek hai
Is dil ko lagta pyara har ek hai
Mat roko is dil ko, Jo karna hai karne do...
Is dil ko roka to baad me pachhtaoge
Jo karna tha WO chhod Jo na karna tha WO kar jaoge
Dil ki na sun sake tabhi to aaj ye dil itna seh raha hai
Udne ki aasha liye yeh dil fir raha hai- अभय
13 MAR 2018 AT 20:54