mere bheetar ek nadee hai behti
har lahar par ek kahaani yeh kehti
kabhi dheemi, kabhi teevr gati se,
jeevan ke har rang mein, khud ko sahati.
mere haathon mein mitti ki khushboo,
har sparsh mein sarjan ka jaadoo.
komal ungaliyaan, mazboot iraade,
har mushkil raah par, mein daat ke khadi hu.
Main Nari Hoon.
meri aankhon mein hai sapanon ka aakash,
har taare mein, ek nayi aas.
bandishon ko todakar, pankh failaye,
har udaan main vishvaas se bharti hu.
Main Nari Hoon.
meri aavaaz mein sangeet hai chhupa,
har shabd mein, ek gehra nasha.
chup rehkar bhi, bohut kuchh kehti hoon,
Main Nari Hoon.
main sirf shareer nahin, ek vichaar hoon,
har pal badalta, ek naya aakaar hoon.
kaliyaan bhi main, toofaan bhi main,
astitv ki har pehchan bhi main.
main abla nadan nai, koi dabi pehchan nai,
swabhiman ki jyoti hu rakhti, khuddari hu.
Main Nari Hoon.-
writer by heart
For more proverbs
Follow me on Instagram @... read more
O ladki thi aab woh housewife bani, Kargai kaise jaadugari
Neend hi need aankhon me bhari, Phir bhi kar rahi woh ghar ki safai
Do do bacho ki mummy bani, Joh yaad dilade inko apni nani
Yeh samjahe abb kis kis ko
Dil me hai inke Dard-E-Housewife Dard-E-Housewife [2]
Tab woh jawan thi, Ghumne firne Ka mausam tha
Ya mai kaho bebagi wala jeevan tha
Kaisa junoon, Pyaar me pade inke anjuman mein tha
Kya woh kahe kya behtarin unka bachpan tha
Shaadi Ka chala tha ...Fhobwara
Phoota jo khwaab Ka... Goobbara
Abb firte hai housewife banke sasural aur maiyeke ko
Dil me hai inke Dard-E-Housewife Dard-E-Housewife [2]
Lamha lamha pati se karti armaano ki farmaaish yeh
Lamha lamha sunte sasu ki daat yeh
Pehle aram kar kar apne ghar me thakte the
ab yeh aram ko roz roz taraste hai
Phir kyun Na kahe mai housewife hu
Unke Sanam dilbar ki pyaari hu
Ghar ka karcha le leti yeh, Har mahine ki chaabis ko
Dil me hai inke Dard-E-Housewife Dard-E-Housewife [2]
Dil todne me expert hai
Conversation ko bichme chodne mai expert hai
Ladko me badi famous hai, Bhabhi bhabhi kehte sab inko
Dil me hai inke Dard-E-Housewife Dard-E-Housewife [2]-
Arz kia hai
Ki shamil ho tum mere har pal me
Yaadon me, baaton me, meri tarasti ankhon me
Ki dur ho phir bhi pass hote ho mehsus
Ajnabee se dost hue aur ab itne khas ho tum
Bandha hai maine shabdo se tumko
Bandhan na duja mere naseeb me tha likha
Dena tha tumko ek taufa joh yaad rahe umar bhar ko
Par tumhare humsafar ke aage woh pheeka sa pad gaya
Likhte hai apki shaan me yeh nazme yeh sher
Khete hai apne dil ka haal joh yun toh me na keh saka
Mangte hai thodasa waqt apka, Yun toh keemti hai bada
Besharmi se deedar ki umeed bhi liye aate hai
Kya kare bina apke hamara waqt nai guzarta-
Teri muskan ko dekhe zamana sa hogaya
Joh dekha usse toh mai deewana sa hogaya
Teri ankhon ki chamak gayab si hogai thi
Phir dekha joh tujhe maine toh usme khosa gaya
Tere gallo ki silwato ko dekh, unhe chune ko dil karta hai
Tere hooton ki karwato ko dekh, usse apna karne ko dil karta hai
Teri sadhgi tera roop aur teri yeh mazedar baatein
Tu hai nayab aur behtarin koi duja kaise tikke tere aage
Jannat aur Jahannam dono hai tere apne
Zameen se falak tak hai bas tere hi charche
Tu sadka utarle ki meri bhi nazar na lage kabhi
Tu taveeze bandle ki mehfus rahe tu har ghadi
Aadat hai, lat hai ya hai khumari
Tujhe dekhe bina raha nai jata hai kaisi yeh bimari
Tu meri roshni hai aur mai tera parwana
Teri talash me mit jaye par lautenge na kabhi dubara-
Hasratoon ki Arzu
Hasrat hai ki tumse Mohabbat karu
Thodi karu par yakenaan karu
Hasrat hai ki humme kabhi Ishq ho toh tumse ho
Phir chahe tumhe humse ho ke na ho
Hasrat hai ki tumse Ashiqui beinteha karu
Joh karu toh deewangi ki hadh tak karu
Hasrat hai ki "Ha Na" ki zarurat na pade humme kabhi
Woh Isharon wala pyaar ek baar karu
Hasrat hai ki har mausam tere sath jeelu
Ek din me umarbhar ki yaadein sama lu
Hasrat hai ki tumse kabhi mai ye baya kar saku
Sapno ki jagah haqeeqat me ek baar toh keh saku
Hasrat ko puri karne ki zid liye huve hu
Khuda rehmat bakshe aur usse mai hasil kar lu-
Nazroon ka nazrana leke aaye the do shayar, Deedar-E-Husn ki mehfil me
Gustakhi ke do bol likh laaye the, Mashoor mohtarma ke Shan-E-Nuzool me
Jab kheme se nikal kar woh aayi hujum ke darmiyan
Unhe dekh yeh shayar madhoshi me kuch keh na paye
Hoke chup ek tuk dekhte rahe janab
Khuda ki nayab khudrat ko niharke, Ankhon ke aino se dil me utara
Khubsurati ka deedar kar besudhgi me bhi, apne aap ko kisi tarha sambhala
Woh Jab chali toh unke kadmo se dharti pe ek awaz si bani
Duniya ke shoor me bhi woh kadmoo ki awaz unhe madhur gaane si lagi
Kehte the ki,
Jab woh niklti toh unhe dekh kitne Gavaiyo ke ghar chalte
Funkaron Kawaalon ke hotoon pe mazedar sher aate
Unke chehre ko dekh taazi painting utarte
Par yeh toh,
Unko mehboob banane ki tammana kar baithe
Jaise hi mile pehli hi nazar me pyaar kar baithe
Ab, Bole woh labh se kaise joh alfaz unke dil me the
Zuban se woh baya kaise ho mehfil me kuch samjh na aaye inhe
Na jaane kya hoga ab is baad shayad mil jaaye kahi se himmat
Woh awaaz bhi mil jaye aur bolne ka tareeka bhi
Kuch rooz ruke toh iss bich unki nazar ek dusri mohtarma pe padi
Kissa yeh phir shuru hogaya aur kahani aage chal padi-
Asmaan me barish ki boondon ki tarah,
Teri zindagi bhi khushiyon se bhari rahe
Barish me mehekti meeti ki tarah,
Teri hansee se yeh jeevan khil-khilata rahe
Karkadee dhoop mein yeh barish jo thandi chaon hai,
Zindagi ki mushkilon mein teri muskaan,
wahi sukoon, wahi aram hai
Pooree hon tere har sapne, tu khushiyon se nahaaye
Poori ho teri har umeed, koi gam na tere kareeb aaye
Jis tarah is barish ki boondon ko tere ghar mein na sahi,
Tere angan mein jagah mili
Waise hi humein tere dil mein na sahi,
Tere jeevan mein jagah mili
Is thande mausam ki tarah
Tera jeevan bhi shant aur mohabbat se bhara ho
Indradhanush ke rango ki tarah tere anek roop hai
Har rang apne aap me anokha, waise hi tujme kaye gun hai-
Meri nazron mein hain aap koi mehtab ka tukda,
Gehri aankhon mein kho jaun, jaise siyah falak mein tara.
Zulfon ki raat mein kho jaaye yeh dil bewajah,
Chehra aisa khilkhilata, kohinoor jaise chamakta.
Muskaan aapki jaise koi phoolon ki bahaar,
Duniya ki hasinaon se bhi pyaari nazar aati aap.
Dil karta hai apki khubsurati ko unhi nihare din raat,
Sirf apke surr gungunaye subah shaan lagatar.
Apki shaan me koi gustakhi ho agar toh shabdo ko saza dena,
Dil toh nadaan hai uski iss bhul ko maaf karna.-
Tere sath thoda aur hai jeena
Tujhse baatein kar kuch lamhe churana
Tujhse thoda aur hai ruthna
Pal do pal ki yaadein banana
Umar bhar ki duri hai kaise kahe alvida
Tere sath thoda aur hai jeena
Tu na rahe toh bhi yeh din nikal jaye
Raaton ko need aur kaam me maan lag jaye
Dheere dheere kar zindagi ke pal bitenge
Uss waqt ko yaad kar joh tere sath guzare
Sukoon se bite yeh pal utne lamhe toh deja
Kaise kahe Kuda hafiz tumhe
Puchu joh tumhe mai phir bhi na batana
Meri zindagi ki dhadkan toh deja
Kisi aur se pyaar kar sake, usko apna keh sake
Usme tere hone ka vajud na dhunde
Uski ijazad toh deja
Kaise kahe Khuda hafiz ke
Thodi mohlat aur dede, Thoda aur jee lene de
Tujhe bhula na sake kabhi utni yaadein toh bana lenede
Ke alvida kehke hum tumse aur kareeb hogaye
Dilse nikale kaise jisse dil de baithe
Kaise kahe Khuda hafiz tumhe
Yeh puchte the hum khudse
Joh keh diya ab toh, roo lete hai chup chup ke-
Lubahte nazare, savere dikh jaate
Apki muskan sath laate, lajavab isse banate
Nasha sa cha jaata, hamari subah banata
Kirne suraj ki khilade chehra chand sa
Chade joh din toh mukhatib apse ho
Suraj ki roshni liye dher Chandni se ho
Badalon ke piche intezar me chupa
Apke hone se khule maidan me aaneko dara
Khush naseebi hamari joh aap padhare
Khudane ek hoor se sar zameen ko navazee
Takeed se kehta apse behtarin na koi
Dua ki tarah ho maange duniya me har koi
Manzur joh Khuda ko uske naseeb me ho
Bakiyon ke liye toh kalam aur jazbatoon me amar ho-