Ye jo kisse hai tere, unhe ab aam ho jane do,
Tum thoda ruk kar betho mere pas,
In ankhon mai fir wahi sham ho jane do.
Na pee hai, na pilayi hai kisi ne mujhko,
In labon se chukar, mujhe shab-e-jaam ho jane do!-
Zehen me khayal ab kam hi ate-jate hai,
Ek saya hai jo ab usme basar karta hai.
Mai aankhe kholu, to haqeeqat darati hai mujhe,
Band aankhon mein bhi andheron ka asar padta hai.
Wo lifafe jinme qaid hai wo sare khat tere,
Na jane kab se,
Unhe agar kholu bhi to padhne se dar lagta hai!
-
Jab mai pahucha waha, fir se kissa wahi,
Wo makaan kuch purani, or kayi kahani nayi.
Deeware kamzor thi logo ne rasta bnaya hai shayad,
Darwaze abhi bhi band hai us khandaar makaan me.-
Sham ho ayi, sooraj bhi ab dhal rha hai,
Mukam hasil to nahi hua,
Or btao zindegi me kya chal rha hai.-
Sadke roshan hai tumhare sheher mai janib,
Kuch makaan hai, jo ab sooraj ka pta puchte hai!-
Bade mashroof hai, meri din or rate ajkal,
Nighaon ka ek safar, majboorion se sapno tak!-
Murdo ki basti me halchal hai,
Lagta hai koi aya hai.
Koi barso phle nikla tha musafir ban kar,
Lagta hai wo fir laut aya hai.
Ye hissa mashoor tha, apne sannate ke lie,
Lagta hai is bar rone koi bohat door aya hai.
-
Mai akela hu is makaan me mere,
Wo darwaza jo hai na, bahar se khulta hai .
Ek arsa hua, maine dhoop nahi dekhi,
Wha diwar hai, jaha mere roshandaan hua krte the!-
Yun chal kar girenge to shayad sambhal jaynge,
Safar se jo darenge, vo fir kidhar jaynge!
Ye zindegi hai, ise jeya jaye to acha hai,
Minnato bad bhi , maut se to nahi bach paynge!
Tum shakh par ho, is guroor me ho shyad,
Ek mausam bad, is darkht ke sare patte gir jaynge.
-