janamdin uska hai magar
jashan hum mana rahe hain apne ghar par
pyaar to bht krte h uss shaks se magar
faasle itne hai ki munkin nii jana uske darr par-
...
jaanta hoon raat sone ke liye hai,
lekin aaj mere saath jaagogi kya?
ek dusre ke saath chatt pr baithkr,
chaand se suraj ki chugli krogi kya?
maloom hai mujhe ki humara saath nii likha,
lekin aaj khud is taqdeer ko badlogi kya?
waise to khwabo’n mai humesha aa jati ho,
aaj khwabo’n se nikalkr haqeeqat mai milogi kya?-
bhto ke dil tode hai, sirf tere dil mai rehne ke liye
akhir main kuch kehta to kehta kaise
glti to meri hi thi, jazbato mai akr khwaab jo sajae the
akhir main khush rehta to rehta kaise…
-
chodh dia hai yaar, dusro ke baare mai sochna
kyunki isbar muhabbat mujhe, khud se hua hai…-
tere inn aankho ki gustakhi ne
iss dil ko bht sata dia
jubaan ko shabd na mile
or ashqon ne sb jata dia
ishq maine kra, inkar tune kia
pyaar to tujhe bhi tha
nazro se nazre mili
or teri jhuki nazar ne sb bata dia-
meri khud ki imandari ne mujhe bigad dia
mujhe kisi se koi gila kya
maine to saath rabb ka manga
or rabb ne mujhe tujhse mila dia-
I always got behind the world
in trying to help others...
however, I am very happy-
Main nasamajh
apni muhabbat ki daastaano ko
likhkar bayan krne chala
jb likhna shuru kra tab maloom padha
ki meri muhabbat ko bayan karne wala
koi lafz, koi harf hi na bana...-
apna gurur apne pass hi rakh pagli
mere muh na lg wrna dhri ki dhri reh jaegi
main uss dhuye ki trh hoon
jo aasmaan mai ud jaunga
tu uss raakh ki trh hai
jo zameen mai hi khaak bankr reh jaegi-
chand palo ki muskurahat ke liye
tune khushiyo’n ka pitara gawa dia
arey paagal ek heere ke khwahish mai
tune ubharta sitara gawa dia...-