Teri nazron ka asar tha kuch is kadar k Shant sagar mai wo lehron ka kaam kar gyi. Mere kaano mai teri awaz shehed si banke ghul gyi.Haste dekha tha jab tumhe, Waqt shayad tham sa gya tha! Waqt maano tham sa gya tha aur mere dil ki dhadkan badhgyi. Shukriya karu mai un kitabon ka jinki wjah se meri kismat tumse aakar mil gyi. Teri Neeli kurti aur safed dupatte ka ye dil aaj bhi kayal hai. Us lamhe ka mai roz shukriya karna chahta hu. Bas wo lamha us lamhe mai hi rehna chahata hu.
Mai bas tera bankar rehna chahata hu.-
चैन कमाने के लिए नींद उड़ा बैठे।
इज्जत कमाने के लिए अपना ज़मीर गवा बैठे।
लोग शोहरत कमाने के लिए अपनों को भूला बैठे!-
I realised the time spent with you was way less worthy than my mother's grey hair, my father's medicines, my grandpa's last breath and my sister's smile which I missed over the years.
-
Ye din b tumhara, ye rat b tumhari, ye chand b tumhara, ye chandni b tumhari, Mera kya!
Tumhara Saaya hi kafi h.-
Tumhe chahu ya na chahu, bas isi asmanjas mai tha baitha.Dil nazuk tha phir b tumse lagakar baikarar kar baitha. Aati thi neend jise taaro ko dekhkar ab tumhari aankhon se ikraar kar baitha. Bas tumhare hi khayalon mai khoya subah se raat aur raat se subah kar baitha. Jis aaine ko dekhe arsaa ho gya aaj usi aaine mai tera deedar kar baitha. Tasveeron se kuch khas nhi tha naata mera aaj teri hi tasveer seene se lga baitha. Laakh koshishon kai bad socha tumhe bta du magar tumhe khone ka dar mujhe sataa baitha. Khub manaya apne dil ko maine par ye dil bhi tujhpe haar baitha.
Mai na chahate hue b tumse pyar kar baitha.-