Ghayal badan suukha gala Firbhi Sher si Awaaz hai Meri ta-umr ibadat par bhari Unki bas ek Namaaz hai Sajde toh kiye kaiyyo ne magar Unke Sajde ka kuch yuu andaaz hai Hussain ne toh wo sajda kiya Jispar purey Arsh ko Naaz hai
Naumeedo k samandar me dooba sa thha safeena mera... Jhalak bhar se hume jazeero ka sultaan banaa gayi wo Mere Gumaan ke Makaan ko Giraa gayi wo Bas yuhi Shaitaan ko Insaan banaa gayi wo
Taa Qayamat dil mehkaaye Ye wo Aawaaz hai, Bahattar se Baayis Hazaar daraade Ye wo jaabaaz hai, Sajde toh kayi kiye auro ne magar Inke sajde ka wo ajab andaaz hai, Hussain ne toh wo sajda kiya Jispar Khudaa ko naaz hai...