Tere ghar se hokar aaya hu
Asa lagta hai
Apna hissa wahi chodkar aaya hu
Tere gharpe namaz padkar aaya hu
Asa lagta hai
Khuda se hamari baat karke aaya hu
Tere bistar ko chukar aaya hu
Asa lagta hai
Jannat mai sokar aaya hu
Tere hatho ki chai peekar aaya hu
Asa lagta hai
Nikah ka iraada karke aaya hu
Teri baaho mai hokar aaya
Asa lagta hai
Sari zindagi uss lamhe mai jeekar aaya hu
Ha Tere ghar se hokar aaya hu
Asa lagta hai
Apna hissa wahi chodkar aaya hu.-
Meri zindagi sari malliyat tumhari hai
Mere har irade se bani jaagir tumhari hai
Mere saaso pe haq bhale hi duniyayi hai
Per meri aakharet tumhari hai-
Aap woh taare ho jo har waqt timtimate rahoge,
Aap woh tarana ho jo ham sabke dilo mai gaate rahoge,
Aap woh khayal ho jo ham sabko hasate rahoge,
Aap woh kitaab ho jo ham sabko sikhate rahoge,
Aapko lejane wale shayad yeh bhul gaye,
Aap toh woh ratna ho jo aanewale kal mai bhi jagmagate rahoge.-
Ek Kahani sunani hai,
Muje apne Raeesi wali baat batani hai,
Kismat Se log muje dhani bulate hai,
Meri daulat ka raaz mera naseeb batate hai,
Mere Ghar, Gaadiyo aur ghadiyo ko khuli aankho se taakte hai,
Iska Sahi waqt chalra hai yeh kehkar apne waqt ko doshi theherate hai,
Mere har kharch se mere munafe ka andaza lagote hai,
Kismat-Kismat ki baat hai yeh kehar meri mehnat ko jhootlate hai,
Mere Ghamo ke samane apni hasi ko chupate hai,
Haste-haste hamari kamyabi ki kahani sabko sunate hai,
Yehi meri raeesi wali kahani hai,
Jise muje iss duniya ke har garib soch ko sunani hai.
-
Kitane sher likhdiye hame khud bhi yaad nahi,
Tum kis sher pe fida hui thi uss lamhe ka zikar bhi hame yaad nahi,
Agar wapas sunne ka mann ho toh hamari mehfilo mai aajana,
Qki sirf tumhareliye sher padne ka woh andaaz hame khud bhi yaad nahi.-
Najane kitani shamaye buj gayi mere yaha tak pahuchne mai,
Najane kitane kirdaar badalne pade mere iss safar ke raste mai,
Koshishe karta raha manzilo ki tallaash mai,
Sari zindagi bhatakta raha kamyabi ki khawaish mai,
Sehat, Aram, Umar sabkuch kharch hogaya in kaagzo ki kamai mai,
Phirbhi woh sukoon nahi mila iss Duniyayi numaisho mai,
Aur fir yeh ehsas hua ki kush rehna zaruri hai,
Chahe sukh ho ya dukh zinda dil rehna zaruri hai,
Sahi Manzil mile na mile,
Safar ko manzil banana zaruri hai,
Najane kitani shamaye buj gayi mere yaha tak pahuchne mai,
Najane kitane kirdaar badalne pade mere iss safar ke raste mai.-
Pehli baar tuje dekh asa laga apni dulhan dekh raha hu
Tera hasi ke peche apni hasi khoj raha hu
Peela salvaar suit aur woh geele baal
Jhuki nazre aur woh tera ehtaram
Hatho mai hath aur woh dheema lehja
Najane mere zindagi ka woh akhari ajooba
Mere kismat ka sitara
Mere raato ka savera
Apni khamoshi se tera wog sabkuch sehna
Har chiz ka ehsas hai muje
Tere har aasu ka hisab hai muje
Waqt badlege, kismat chamkegi, Aur usdin khuda bhi kahega….
Phir ek bar dekhar asa laga jaise tu apni dulhan dekh raha hai
Teri hasi ko dekhar koi aur bhi muskuraha raha hai-
Hamari imarate girane aaye the,
Hamare mehlo par apna naam sajane aaye the.
Duniya ke samne hamara naam mitane aaye the,
Mehnat-khoon-Pasine se bani iss Riyasat ko jalane aaye the.
Par afsos, Na emarate gire na apna naam bana paye,
Woh toh bas iss daud mai khudka tamasha banane aaye the,
Hamara naam mitate mitate apna wajood mitane aaye the.
-
Yeh Duniya yi Daulat Yeh Duniya yi Shaurat
Sabhi ko yehi chod kar jana hai.
Teri bhi Zindagi Meri bhi Zindagi
Musafiro ke tarah bas thehar jana hai.
Sari Umar Kabristan mai aana aur jana hai
Apno ne hi hama dafnana hai.
Manzil toh Maut hai
Yehi kahani hame sabko sikha ke jana hai.-
Badi roz baad woh ladki mujse takrai thi
Apne hatoh se mere maathe ko sehlai thi
Badi roz baad woh ladki mujse takrai thi
Apni hasi se meri dil ko khilkhilayi thi
Badi roz baad woh ladki mujse takrai thi
Muje mere zarf se hubahu milane aaye thi
Aur ha Zindagi, Zamana, Duniya aur lamha tham sa gaya…
Jaise koi pari Aasman se utarke samne aayi thi
Ha Badi roz baad woh lakdi mujse takrai thi
Ha Badi roz baad woh ladki mujse takrai thi-