Chahe kitne hi log aa jaye jindagi main
Chahe koi aa jaye
Dil main jo jagah khali ho gayi
Phir nhi bhari-
Kaha tumne toh be-shak sab chod aaye hum
Ehtiyatan keh dete hain laut aaye hum
Doob gaya dil, zer-e-aab hain aankhen
Sailaab bhi kai aaye bahir na aaye hum!!-
Raat ke us akhiri pehar
jb sari duniya soti hai
main beech tumhari yaadon ke
Umeed ki surmayi saakhon par
Khamosh sa betha rehta hoon
Tum dil main ho
Dimaag main ho
Ya mujh par tera saya hai
Maine har upchaar karaya hai
Aane wala waqt mujhe
Jhanjhod rha hai
todh rha hai
Koi ungli meri chod rha hai
Armano ke mele main
Sabke beech, akele main
Bas teri baatein hoti hain
Main jb bhi khud se krta hun
Roz isi uljhan mai main
Jb thakta hun, so jata hun
__aamirkhan
-
Kuch samjh nhi aa rha kya kiya jaye
Waqt ka taqaza hai waqt liya jaye
Thokarein thikane laga hi deti hain
Kisi ko thaam liya jaye ya chod diya jaye
-
Aankhon ko aankhon se kehne do
Chahe baat labon ki rehne do
Khwab main mere vo aa rhi h , hato
Mujhe uski julf ke saye mai sone do
Bahut din huye, dard nhi chkha
Koi jakham de,sitam kare, use karne do
Uski gali main mai-khana hai chlo
Mujhe uski yaad main peene do
Bholi soorat, nain sarabi
Mujhe na uthao,Uske nashe main rehne do
Dil toota toh tum jeete,han uski hai jeet tumhari
Jo hota hai hone do
Itni bhi be-rukhi acchi nhi aamir
Tum jalo, us paar tapish bhi lgne do.
-
Isme radeef hai, kaafia hai
Matla bhi hai, makta bhi hai
Phir bhi kuch kami reh gayi ho toh ise tum mukkamal ghazal kehna
Yeh ladki mere saamne kahar dha rhi hai
Iski adaoun ko aur kya kehna-
Tumhare gale main padi huyi chunni ka andaaz
sidhi knghi kiye huye baal
bina makeup ka chehra bta rha hai ke tum kitni sada ho.
Aur tumhara ye sada andaaz
meri sarhadon ke paar
poore urooj ke sath
mausalsal krta vaar apna rasta bna rha hai.
Iski harkaton ki tumhe khabar nhi shayad
mujhpe havi hai iska khumaar
khinchu main apne teer-o-talvaar
hai ye joh nafarmaan tumhara.
Agar tum bhi shamil ho iske saath
Toh satkaar iska aur jaan tumhara-
Main apna haal batau tumko,mrzi tumhari
Poora khalipan hai khamoshi tumhari
Tapta sooraj apne sar par,saanjh tumhari
Ujde armaan foot rahein hain barish jaisi baat tumhari-
Chaha toh nhi hai magar
Tera dil kbhi dukhaya ho toh maaf kar mujhe
Samne hi thi manzile apni
Kuch dishaaon ka dhoka khaya ho toh maaf kar mujhe
Kisi baras hum sambhle toh ehd krenge
Barson tujhe sataya ho toh maaf kar mujhe
Jao ke tera dar bhool gya main
Dil kbhi le aaya ho toh maaf kar mujhe
Khuda ne di hain sari khubiya tumhe
Mujhe kuch kam-jarf bnaya ho toh maaf kar mujhe
Tere bin sooni hai, khamosh hai, patjhad hai zindagi
Isme koi ankur ug aaya ho toh maaf kar mujhe
-