Aamir Faisal   (Aamir Faisal)
103 Followers · 129 Following

read more
Joined 21 June 2018


read more
Joined 21 June 2018
27 SEP 2023 AT 3:35

Kehne ko to bohot hujoom hota hai
Bheed me bhi tanha mehsoos hota hai
Zamana bada taveel lag raha hai ab
Nazdeek hoke bhi sab door hota hai

Maujood to hote hai par dikhte nahi wo
Apna bhi yaha bada ajnabee hota hai

Maan leta hu dost ab usko bhi mai
Jo thodi der bhi mere sath hota hai

Salo se jaanta ho mujhe is qadr bate hai uski
Kareebi badhata hai jab bhi matlab hota hai

Khoon karte hai wo har roz har rishte ka aamir
Jinke liye khud parasti me jeena asaan hota hai

-


2 FEB 2023 AT 3:06

Kehte hai wo narm lehje me baat nahi krte
Ha mana sakht hai par jhuti bate nahi karte
Jante ho hame tum ke hum awaara nahi hai
Baat talkh kehte hai lekin bewafai nahi karte

Tohfa dena aata hai magar jatlaya nahi karte
alag zarur hai magar ye to nahi pyar nahi karte
Jhuki hui nazar se tum ko bas dekhte rehte hai
Ab mijaz ki baat hai sabko bataya nahi karte

कहते है वो नर्म लहज़े में बात नही करते।
हा माना सख्त है पर झुटि बातें नहीं करते।
जानते हो हमें तुम के हम आवारा नही है।
बात तल्ख़ कहते है लेकिन बेवफाई नही करते।

तोहफा देना आता है मगर जतलाया नही करते।
अलग जरूर है मगर ये तो नही प्यार नही करते।
झुकी हुई नजरों से तुम को बस देखते रहते हैं।
अब मिजाज की बात है सबको बताया नही करते।








-


31 JAN 2023 AT 1:32

Sachchai ki khasiyat to suniye
Samne aajati hai ek din

-


31 JAN 2023 AT 0:45

Sazishe hasad aur gile shikwe liye firte hai ye
Dil me kina liye tumhare ird gird firte hai ye
Barbadi ke ye dekhte hai khuwab dino raat
Raaz lene tumhare hi ghar raat baithe hai ye

-


4 OCT 2021 AT 0:18

पागल कहते कहते सच में पागल कर गया।

टूटे हुए दिल को फिर से तोड़ कर चला गया।


जिसके सहारे दिल को जोड़ रहे थे धीरे धीरे।

उसी एक शख्स ने दिल को रेजा रेजा कर गया।


हाल ये है के नफरत भी नही की जाती है उनसे।

जैसे दिल में उसका एक हिस्सा भी न रह गया।


सोचा न था के इतने रहमों करम वाले निकलेंगे वो।

जिंदा रहने के लिए ये टूटा हुआ दिल ही छोड़ गया।


वफा पर ऐतेमाद करना ये एक धोका है आमिर।

पहली से न समझे दूसरा भी यही समझा गया।

-


14 SEP 2021 AT 0:48

Pagal kehte kehte sach much pagal kar gaya
Tute hue dil me phir se ek sorakh kar gaya

Jiske sahare dil ko phirse jod rahe the hum
Usi shaks ne hamara dil reza reza kar gaya

Haal ye hai ke nafrat bhi nahi ki jati ab unse
Jaise dil me uska ek hissa bhi na reh gaya

Socha na tha ke itne rehamdil niklenge wo
Sath dene ko ye toota hua dil hi chod gaya

Wafa eitmaad ye sab ek dhoka hai aamir
Mujhe bhi wo shaks yahi salah de gaya







-


19 AUG 2021 AT 18:12

Hum bhi rote hai raato me sabko batana zaruri hai kya
Yaad hum ko bhi satati hai unki izhar karna zaruri hai kya

Hum khamosh hai ab sab kuch seh ke bardasht karke bhi
Kitna zakham khaye hai hum ye dikhana zaruri hai kya

Mashwara thumara bilkul wajib nahi hai mere bade bhai
Jo salah di hai tumne ek tarfa karna zaruri hai kya

Koshishe ki thi hum ne bhi sab galat fehmiya khatam karne ki
Har baar khuwahishe jatan mujh se ho ye zaruri hai kya

Hum ne to apna sira baya karna ab chod diya hai Aamir
Piche hasne walo se hamdardi talab karna zaruri hai kya

-


11 AUG 2021 AT 22:57

CHALE AAO KE AB BHI TUMHE YAAD KARTE HAI
GALTIYA SAB TUMHARI AB HUM MAAF KARTE HAI
MAIKHANE ME BAITH KAR BHI DIN NAHI GUZARTA
BEWAFA TUJHSE AB BHI HUM PYAR KARTE HAI

چلے آؤ کے اب بھی تمہیں یاد کرتے ہیں
غلطیاں سب تمہاری ہم معاف کرتے ہے
میخانے میں بیٹھ کر بھی دیں نہیں گزرتا
بیوفا تجھسے اب بھی ہم پیار کرتے ہیں

चले आओ के अब भी तुम्हे याद करते है
गलतियां सब तुम्हारी हम माफ करते है
मैखाने में बैठ कर भी दिन नही गुजरता
बेवफा तुझे अब भी हम प्यार करते है

-


30 JUL 2021 AT 5:26

Mere halaat se mera muazna mat kariye janab
Maile kapde kirdaar ki gawahi nahi diya karte

میرے حالات سے میرا موازنہ مت کریئے جناب
میلے کپڑے کردار کی گواہی نہیں دیا کرتے

मेरे हालात से मेरा मुआजना मत करिए जनाब
मैले कपड़े किरदार की गवाही नहीं दिया करते

-


27 JUL 2021 AT 23:04

Gir kar ro kar uth kar hasna seekh liya hai
Kadi dhoop me paidal chalna seekh liya hai

Mushkile bohot hai Zindagi me or abhi
Muskura kar dard ko chupana seekh liya hai

Falsafa pyar ka hume bilkul na bataya kar
Humne Jhuto ko benakaab karna seekh liya hai

Kalam ki taqat me kafi awaaz hoti hai janab
Lafzo ko humne Zinda rakhna seekh liya hai

Sher likh kar aap beeti bayan kardete hai ab
Naye daur ke ashiqo ne ye hunar seekh liya hai

-


Fetching Aamir Faisal Quotes