Tere naam se hun bhaagta
Tere zikr se door ho jata hun
Jo kahi tu ho khayalon mei
To zehan ko bhatkata hun
Khud ko rakh ke masroof mai
Sukoon phir bhi na pata hun
Thak jaun sara din bhi toh
Neend se mehroom reh jata hun
Khud ko sahi paake bhi
Kyu ghalat mai ban jata hun
Beeti hui har baat me
Khud ka kasoor thehrata hun
Tu hai nahi magar phir bhi
Tera hi khud ko pata hun
Tujhe taklif na ho jaye
Sabse hi door ho jata hun!!-
Kyu dekhu mai aayina
Wo nazar aayega kya?
Kyu jaun mai bahar
Wo mil jayega kya?
karu kyun mai baatein
Wo sun payega kya?
Rahun khush mai kaise
Wo laut aayega kya?
Mai puchunga usko
Ki khwabon me hi par
Usey mera kehne ka
Haq de payega kya?
-
Kyu bhagta hai har waqt
Kyun bheed se hai darta
Logon se dooor hoke
Khud hi se baatein karta
Kya ho gaya hai tujhko
Kitna badal gaya hai
Girta hua sa tha tu
Par ab sambhal gaya hai
Wo ek shakhs tha jo
Khwabon ki baatein karta
Tu aur hi hai koi
Ummeed se bhi darta
Khud tod saare rishtey
Khud hi hua tha tanha
Na palta ik dafa bhi
Na thehra ek lamha
Ab der ho chuki hai
Tanhayi hi bhali hai
Khud ko sambhale rakhna
Tujhe dooor tak hai chalna!!-
Tum dete ho ilzam
Bewafayi ka mujhko
Na hoti wafa
Toh yun tootTa kya?
Karte ho baatein
Yun sab se hi meri
Mujhi se jo karte
Toh yun roothta kya?
Khud me hi sari
adalat bithayi
Khud hi se ye saara
Kiya faisla hai,
Mai baithu banaye
Kyu sawalon ka ghera
Gar karta yaqeen wo
Toh yun puchta kya?-
Bichhadne ka liye wo gham
phir ek baar nikal gaya
Diya tha hath jisne wo
Phir ek baar mukar gaya,
Khada tha bheed me phir bhi
alag sab se wo reh gaya
Andhero ki lagi aadat
Ujalon se wo dar gaya,
Badi veeran duniya thi
Bade kamzor rishtey the
Jinhe apno me kehna tha
Paraya wo hi kar gaya,
Khatam kar ke sabhi rishtey
Ghamon ko door kar gaya
Zara dhundo kahan ab wo
Musafir jo guzar gaya.
-
Kya karu mai ab
kuch pata nahi
Kyu ilzam dun mai tujhko
Ye teri khata nahi
Talash hai mujhe
Har waqt jiski
Hai wo yahan nahi
Baatein bhale na hui humari
Par tujhse mai khafa nahi
Tu ho saka na mera
Par bewafa nahi
Khali si lagti hai duniya
Tu jo yaha nahi
Jaun kahan mai ab
Tu har jagha nahi
-
Mera kal bhi tum
Mera aaj tum
Mere har din ka ho
Aagaz tum
Meri subha tum
meri shaam tum
Meri zubaan pe
Hai, wo naam tum
Na jo sone de
Wo khayal tum
Gar soun toh
Phir khwab tum
Na hum mil sake
Par kya gila
Mere ishq ka
Ho inaam tum
Mai jo kuch bhi tha
Tum tak hi tha
Mere kissey ka
Anjaam tum-
Jo kehta tha ki rona mat
Rula kar wo chala gaya
Jise har waqt me mai tha yaad
Bhula kar wo chala gaya
Tha hasne ki wajah meri
Sata kar wo chala gaya
Tha apna jo, paraya ab
Bata kar wo chala gaya
Bigda sab, hua kuch yun
Ki mai phir na sambhal saka
Sambhalne ki jo thi ummeed
Mita kar wo chala gaya
Sambhal ke bhi mai karta kya
Kisi ka phir mai hota kya
Tha tanha mai ab phir tanha
Bana kar wo, chala gaya.
-
Mere seeney me har kahi
Tera hi pyar rehta tha
Mere ankho me bas tera
Hi deedar rehta tha
Mere khwabon me bhi tera
hi intezar rehta tha
Chale aaye jo milne tum
Yun wapas dhundte mujhko
Zara pucho kisi ko ki
Yahan ek shakhs rehta tha
Teri yaadein samete jo
Teri hi raah takta tha
Wo banke yaadon ke aansu
Teri aankho me aayega
Jo teri aahaton ko bhi
Apni dhadkan samajhta tha.
-
Dil bhar sa gaya hai
Dil lagane se;
Ab bas thaher jane ko
jee chahta hai,
Khatakne lagi hain mujhe
Ab meri hi baatein;
Khamosh ho jane ko
Jee chahta hai,
Aur tujhe dekhne ki
Tamanna bhi na rahi ab;
Bas teri yaadon pe muskurane ko
Jee chahta hai,
Yun lagta hai ki
Kahin dooor nikal jaun;
Aur wahan se phir wapas na aane ko
Jee chahta hai.-