खता है, खफा है, या जो भी वजह है
जितनी गुजारू ये उतनी सज़ा है |
जिस रूख को जाउ, ये उस रुख़ को आयें
साँसो को भारी हर रूख की हवा है |
किसे ढूंढते हो, सुकून अब कहाँ है
सब उड़ गया, न बाकी हया है |
कितना भी फूंको, कितना बुझालो
बुझने ना वाला तेरा जलता जहाँ है |-
Tum chalte the befikr, kyu ruke?
Is patthar ko raaste se ab hata dena chahiye
Rona hai kab talaq, ab thoda muskurana chahiye
Kyu pakad rahe ho mazboori ko haath me, ab haath chhudaana chahiye
Waqt aa gaya hai Jaana, ab tumhe bhi jaana chahiye
Har rang hawa main khushi se udana chahiye
Apna satrangi jahan phir se basana chahiye
Ik qaid se nikloge, jashn azaadi ka manana chahiye
Waqt aa gaya hai Jaana, ab tumhe bhi jaana chahiye
Maine likhta tha, apni udaasi, dil ki tanhayi, zamaane ki ruswaayi ko
Mujhe phir se likhna chahiye
Tum aadat kharab ho, mujhe tanha ho jaana chahiye
Main, meri shyaahi aur mera gum, hume phir ek ho jaana chahiye
Waqt aa gaya hai Jaana, ab tumhe bhi jaana chahiye-
Sone si subah me khaab ek dekha tha,
Hanskar phir bistar ko chhoda tha,
Socha tha badal dunga aaj apni qismat,
Khaab ye pehle bhi kayi baar dekha tha
Sham hoti gayi din guzarta raha,
Dil ye aaj phir dhalta gaya,
Dar hai ye khaab toote na kahi aaj phir,
Haatho me leke khaab sham tak chalta raha
Aaj phir se manzil tak na pahucha hai,
Dil doobta raha, main phir toot ta raha,
Aaj phir Apne haatho se aankho ko ponchha hai
Har din me toot ta raha,
Raat bhar khud ko samet ta raha,
Subah nayi hogi, naya khab hoga
Ye chakravyuh hai, har din dekhta raha.
-
Shaam khaali, raat gehri hai
Abhi shoonya ke aage kuch nahi dikhta
Yakin aane wali subah par rakha hai,
Usse haseen kuch ho nahi sakta
Toot jaao, thak jaao, ruk jaao
Subah toh aayegi hi
Bas roshni dekhne se pehle andhe mat hona..-
Wafa thi, sukoon tha, khushi ka samaa tha,
Ek hawa ka jhoka uda le gaya.
Bichhad ke guzaara ek arsa iss dil ne,
Ek mohabbat ka tukda fasa reh gaya.
-
Kyu kahu zamaane se haal-e-dil,
Ek sunne wala kafi hai, kafi nahi?-
Tum beparwah, tum azaad si lagti ho
Mere sabse haseen khwaab si lagti ho-
Ek maikhana husn ka liye phirti ho,
Chhu le tumhe toh unglian nashe me aa jaaye..-
Shor sharaaba aur sukoon ki baatein,
Abhi mere maathe pe jakham aur hai,
Tum kar rahe ho ishq ki baatein,
Maaf karna, mera dhyaan kahi aur hai.-