The poet in me about to ripe again,
Am I ready to go through this pain?
Knees weak, heart aches, in a sweat rain,
repaired soul? ready to live again!
ā % &-
"The fault, dear Brutus, is not in our stars,
But in ourselves, that we are underlings."
-cassius-
kisi libas ki khusboo jab uddke aati hai,
Tere badan ki judaii boht satati hai,
Tere gulab taraste hai teri khusboo ko,
Teri safaed chameri tujhe bulati hai,
Ki tere bagair mujhe chain kaise padta hai,
Mere bagair tujhe Neend Kaise aati hai.
-"jaun"
-
Ye kisne bagh se,
us shakhs ko bula liya hai,
Ki parindey udd gaye,
Pedo ne mu bana liya hai,
Usse pata tha Mai chune Mai
Waqt Leta hu,
So Ussne vasl(milan) ka
dohrana bada Diya hai.
-Tehzeeb
-
Koi ummed bar Nahi aati,
Koi soorat Nazar Nahi aati,
Maut ka ek din moiyan hai
Neend kyu raat bhar Nahi aati.
-Mirza-
Tumari Yaad ke jab
zakhm bharne lagte hai,
Kisi bahane tumhe
Yaad karne lagte hai.
Kar Raha tha gum-e-jahan ka hisab,
Aaj tum yaad behisab aaye.
-Faiz
-
Zabardast shaukh palne waale
dekhe jinke zasbaat purjosh hain,
Beshumar Ashrafiyon mai khelne waale
dekhe jinke mizaaz behtarien hain,
Khoobsurat husn ke bhi maalikh
dekhe jinke andaaz haseen hain,
Laken Dekha na Koi ibadat karta
Uski jiske wajah se Sab mumkeen hain,
Yeh Azab Gareebo ki Mandi hai aaka,
Yaha duaien bhi mehengien hain.-
Abhi sooraj Nahi dooba,
Zara so Shaam hone do,
Mai khud laut jaoonga,
Mujhe nakaam to hone do,
Mujhe badnaam karne ka
Bahaana dhoondta hai Zamana,
Mai khud ho jaoonga badnaam,
Pehle mera naam toh hone do.
-Mirza-
Pathar zehan gulab nai honde,
koray warq kitab nai honde,
jay ker laye yaari bhulehaya,
fir yaaran naal hisab nai honde.
-"bulleya"
-
"When a man learns to love, he must also bear the risk of hatred"
-Tobi
-