Baitha soch me, kya sawaal hai?
Bekhabar hun mai, kya haal hai,
Kya ye khel hai, kya ye jaal hai
Mujhe lage jaise mera yahi zawal hai...π-
The greatest story told!
Do kadam hun chala
Manzil dur nahi,
Haan hun thaka hua
Lekin majboor nahi,
Kis ko bura kahun
Kisi ka kasoor nahi,
Abhi thoda waqt hai
Mai abhi mashoor nahi....-
Teer nikle kamaan se
Insaan haar jaata kaise insaan se,
Roti, kapda, makaan se
Nahi bikte jo jeete yahan shaan se,
Paisa paani tha, bahata tha
Aisa kyun? kya iraada tha?
Usse puchta hun mai sawaal ye
Kyun jalayi kashti jab tairna ni aata tha?-
Hamko dil se bhi nikala gaya
Fir Shehar se bhi,
Hamko pathhar se bhi mara gaya
Fir zehar se bhi...-
Rasmo riwajo ko hi toh nibhana hai
Eid aa rhi hai kaun sa tujhe aana hai,
Aye waqt zara dheere guzar
Abhi toh muskurahat ko bhi labon pe lana hai,
Milte hue ab kisi ko dekha nhi jata
Is baar hame bhi kisi ko gale lagana hai,
Dekh laut aaye hai sab apne gharon ko
Magar teri taraf se fir aaya ek bahana hai,
Rasmo riwajo ko hi toh nibhana hai
Eid aa rhi hai kaun sa tujhe aana hai,
Ek roz yaad kar liya karo yaad karne walon ko
Phir bhula dena saal bhar agar tujhe bhulana hai,
Tu nahi akela toh ham bhi ab tanha nhi Aadil
Ham tere aur dard hamara diwana hai,
Rasmo riwajo ko hi toh nibhana hai
Eid aa rhi hai kaun sa tujhe aana hai...
-
Kisi kaa jaana dard toh deta hai,
Par usse bhi zyada dard deta hai uske aane ki ummeed...π-
She decided to share
her secret with him,
He decided to share
his life with her,
She was in friendship,
He was in love. β€
-
Aate jate puchte hai, tera kaam kya hai
Saalon baad usse mila, usne pucha tera naam kya hai,
Lajawab ho gya aur pooch rha sawal kya hai
Kitaab khali mere dil mai ye mazak kya hai...-
Usi muqaam pe kal
mujhko dekh kar tanha,
Bohot udaas hue
phool bechne wale-