Vo hansi mujhe bohot tadpaati hai
Jo mujhe dekh kar loog udaate hain-
Baarishon ke rele
Zulfon se teri khele
Ek saath hain fiqron mai ham
Saamne se magar akele
Kitni shiddat badhayega dukh
Kitna bhaar ye dil jhele
Ek duniya hai par hamari nahi
Ek jaan hamari hai lele
Marna jab manzil hai "Aadil"
Jii.ne ke kyun hain jhamele-
Ae vaada-e-vafaa-e-bahaar aaja,aaja
Saara bhaag hai bimaar aaja,aaja
Ruuthi huvi teri anjaan galiyon tak
Jati nahi kya meri pukaar aaja,aaja
Thodi si an-ban se gurezaa.n ho
Gile-shikve kar hazaar aaja,aaja
Na tadpa apne lubb-e-lubaab ko
Hain ek duusre ka pyaar aaja,aaja
Hamara uruuj dekhne ke shauqiin
Ho gaye hain mismaar aaja,aaja
Aankhein bijli hain teri palken hirni
Zihaanat hai tez-taraar aaja,aaja
Vasl kitna khuub-surat tha "Aadil"
Hijr ka raha sii.ne pe bhaar aaja aaja-
Dard ko haavi na hone doo khud pe
Dard ta,aqqub mai hota hai shikaar ke
Dard hota hai bahut zaalim mizaaj ka
Dard khaa jata hai o.r bina dakaar ke-
Always Believe In Allah ☝️
Remember His Favour Is Greater Than Your Fears
Remember His Mercy Is Greater Than Your Sins
Remember His Help Is Greater Than Your Weakness
Remember His Blessing Is Greater Than Your Loss-
Having curiosity of success is simple
But having passion to work for it,is unique-
Mohabbat majbuuri samjhi gayi
Ek jhatke mai khatam ki gayi
Ham huve ham se paraye
Magar ham mai se tu nahi gayi
Dhoka khaya insaan kaisa dikhta hai
Kyun bina dekhe h.i chali gayi
Janu-babu keh kar luut liya usne
Vo khali aayi thi khali nahi gayi
Jurrat nahi thi maziid jhel.ne ki
Tujh se mili chot soch ke sah li gayi
Maazi mai khoo gaye na agar
Phir samjho saari zindagi gayi
Cho.ten itni bhayanak khayi "Aadil"
Ki ab chashm se meri nami gayi-