"मैंने एक उम्र खर्च की है तुम पर
तुम मेरा कीमती असासा हो-
Isiliye To Yaha Rattjaga Zyada Hai
Ke Mere Khwaab Me Wo Jagta Zyada Hai
Mujhe To Door Se Adat Hai Use Takne Ki
So Uska Ek Nazar Dekhna Zyada Hai
Use Samjhna Bhi To Chahiye Tha Na Fir
Agar Wo Apse Likha Pada Zyada Hai
Mai Har Kisi Pe Bahut Aitbaar Karta Hu
Khushi Bat Yeh Ke Saniha Zyada Hai
Mera Khayal Na Rakho Mere Dil Pyare
Jo Tumse Jud Bhi Gaya To Tootna Dobara Hai
Wo Mujhe Khwaab Dikhate Hai Tumse Milne Ke
Unhe Pata Hai ke Faasla Zyada Hai-
ज़रा सा क़तरा कहीं आज अगर उभरता है ।
समुंदरों ही के लहजे में बात करता है ।।-
Mai Chahta To Zabane khamosh Kar Deta
Magar Mai Chup Tha Tere Huqum Par Ruka Hua Tha
So Maa Ki Kabar Par Pahucha Lipat Kar Rone Laga
Diler Beta Kisi Bat Par Dukha Hua Tha-
پُکارو تو
جان حاضر
آنا مسترد
غرور مسمار
راہ ہموار
سماعت واجب
قدم یکساں
تیری جانب
Ziddi Hoon Magar Tum Jo
Pukaro Tou
Jaan Hazir
Ana Mustarad
Ghuroor Mismaar
Raah Humwaar
Sama'at Wajib
Qadam Yaksaan
Teri Janib-
jo guzar rahi hay guzaar do, na bura kaho, na gila
karo
jo tumhara haal hay dostoon, wohi saarey shehr ka
haal hai
ye tumhaari talkh nawaiyaan koi aur seh k dikha tu
day
ye jo tum main mujh main nibah hay, merey hoslay ka
kamal hai
mujhay is ka koi bhi ghum nahi k kisi nay mujh sey
wafa na ki
main kisi k kaam na aa saka mujhe sirf is ka malal
hai-
shauq-e-manzil ham-safar hai jazba-e-dil rāhbar
mujh pe ḳhud bhī khul nahīñ paatā kidhar jaatā huuñ maiñ-
jaate hue ḳhudā-hāfiz haañ itnī guzārish hai
jab yaad ham aa jaa.eñ tum khair' kī duā karnā-
Kisi Darbaar Ki Ameen Bhari Khalwat Me
Ain Mumkin Hai Tumhe Mera Pata Mil Jaye
Yeh Bhi Ho Sakta Hai Mai Tumko Milu Ya Na Milu
Lakin Is Khoj Me Khud Tumko Khuda Mil Jaye-
Udasiyaan Hi To Meri Ehed Ki Alamat Hai
Mai Has Pada To Bahut Piche Lout Jaunga-