Mein kese chupa sakhta tha yeh Raaz bhi Apne dil se
Woh Jo mukhalifaton mein shumar hua tha meri zaroorat k waqt-
Mere seene mein bhi dard rahta hai
Gham kay mahool mein ye asar rahta hai
Mein soch soch kar begaad deta hun halaat apni
Is tarah fekir mein jab kabhi lamha rahta hai
Sehat kharab hoti hai aur dawai kaam nahi karti
Ayse mouke pe lehja Mera khamosh rahta hai
Meri sharafat hamesha rahti hai mere sath "faiz"
Is liye Mera Ahsas azil ta eabd tak udura rahta hai
-
Oske kashish-e- ahsaas ke intiha kabhi hoti hai
Ishq-e- ilahi se jab kabhi yaade taaza hoti hai
Dil-o-deemag khol deta hein chaar chaar Aankhe
Mehsoos ke mulaqat jab jab Ahsaas se hoti hai
Badan ke kya auqat ke mukabula kare ruhh se
Ye haraarat khud bhi hairan-o-pareshan hoti hai
Nimaz gawah rahti hai hajaat mangne se pehle pehle
Ayse qeemati Aansu aur lamhe bhi hayat rahti hai
Ibadat ke ijajat hein baa wazoo karne kay bad tume
Dua karne se tou "faiz'' sakoon ke ibtida hoti hai-
''Ous Ne Toufe Mein Mere. Gali Diyi Hain
Main ne Badle Mein Behtareen. Khamoshi diyi hai"
" Sakhawat Meri Dekhi Hogi kabhi Mere Khuda ne
Shahyd Is liye Sarwat Aur Sharafat khandani Diyi Hai "
"Kuch ka Kuch" Kehne Pr Iktidaar Ka Lalichi samjhte Hai Log
Chup Reh Nahi Sakhta Meinne Darr Ko Kabke Moat Diyi Hai"
"Haq Ke Fazilatay Buland Hai Is Ko Janina Aasan Tou Nahi "Faiz"
Mein ney Ghoday Par Betha Kar Sirf Sabar Ko Sawari Diyi hai-
Tujhe aakhon mein qaid rakh kar "faiz"
Mere aakhen zindaan ban gayi hai
تُجھے آنکھوں میں قید رکھ کر "فیض"
میری آنکھیں زنداں بن گئی ہیں
-
Teri dard e awas bikri huwi hein
Log Shakil dekhkar souda karte hai
Teri Surat joh dekhayi nahi deti
Logo ko kuch aur dekhaya gaya hai
Khoon e na haq sadko pe jazib nahi hota
Yaha pani se taireeqe metayi gayi hein
Yahan phool ab khiilnay say he darte hein
Yaha hawaye zanjeero mein qaid karayi gayi hein
Yaha Suraj badaloo say gaira padha hai
Yahan roshni par sazaye làgayi gayi hai
Kabistan az khud yaha cheekh kar rota hai
Unkay waha gharo kay chirag soye padhe hai
Shama ye dekh kar hairan o pereshan hai
Parwane ab apne Parr khoye padhe hai
-
Mein kashmir ka hun mere aakhon ne bhi jinaze dekhay hai
Kya kuch kam nahi hai aurat pe bhi jabr karte dekhay hai
Kuch masoom jo phool ke tarah pehlay the godi mein
Ab unke walidain kay hatho mein sirf khilone dekhay hai
Humein aseer banaya hum se zaida fauj e jafa neh
humne azkhud zameen kay wariso ko Katay hue dekhay hai
humein lay jaya gaya kabhi sham tou kabhi tihaar
hum ne sabar shukr kay sath zindaan dekhay hai
hum ne Karbala se milti julti kahani dekh kar pher
hum ne khamoosh yazeedi ko kufru kay sath dekhay hai
Yazeed hai bhi maloom pher bhi unay dost rakh kay
Hum ne furu-e-deen ke behurmati pahado mein dekhay hai-
Na Woh Shama Se Parwane Ko Bacha Paye
Na He Saranay Say Bulbul Ko Rokh Sakhay-
Azmaishe imtihan e sharm mard se kaha hoti hai
haya bhi maloom ous ki aurat se hoti hai
Yu tou woh shoak rakh kay khubsurat phoolo ka
Ye khawaish bhi Puri ouski aurat se hoti hai
Ye Jankar bacho se inkaar mard kar nahi sakhta
Unke jannat ke ibtida maa kay paron se hoti hai
-