उसूलों पर जहाँ आँच आए टकराना ज़रूरी है
जो ज़िंदा हो तो फिर ज़िंदा नज़र आना ज़रूरी है
नई उम्रों की ख़ुद-मुख़्तारियों को कौन समझाए
कहाँ से बच के चलना है कहाँ जाना ज़रूरी है
सलीक़ा ही नहीं शायद उसे महसूस करने का
जो कहता है ख़ुदा है तो नज़र आना ज़रूरी है
Waseem Barelvi
-
Itni khoobsurat duniya h teri jaha par log jism ki jagah par ruhh ko barbad kar k jaate h,
Dard ki jagah par yaadein de kar jaatein h, Ahsaan par karzdar bana kar jaatein h,
Gunaah par maafi nhi par hum ko hi mulzim bata kar jaate h....-
Jo kabhi Dil mein thee aaj
woh Dil se utar gaye
Manzil k humsafar thodi durr
saath chale par raaho
mein hi bhatak gaye...-
Kya batao mein ki zindagi ki haqiqat kya hai...
Har koi agar apna hai toh fir paraya kya hai...
Aankhon mein toh sabke yuh khoobsurat moti hai...
Khushi k hai ya fir gham k jaane khuda ki manjra kya hai...
Yuh toh har koi Safar mein kai dafa gir k sambhlta hai...
lekin nhi pata kisi ko bhi ki manzil kya hai...
Jisko bhi vafa k qabil samjho woh hi bewafa niklta hai...
Insaaniyat ka hi koi wajood nhi toh fir khuda kya hai...
Jo kartee hai rishto ka sauda unke liye
tere darbaar mein sazaa kya hai..?
Jab zubaan ki hi koi kimat nhi toh fir vafa kya hai...
Whi kyu dukhi hai jo jhuka teh hai tere aage mastak apna
Agar yehi insaf hai toh for mazaak kya hai...
Iss duniya mein jab kisi ko aaine par bhi aitbaar nhi...
Khuda khuda karne vaalo ki nazroo k saamne yeh dhua dhua sa kya hai...
-
Har roz sehej k rakhta hoo guzrey hue zindagi k chand khoobsurat lamhoo ko,
Naa jaane kab aur kaha par yaadein bhi sab ki tarah saath chodd de.-
Yaad bhi nhi aati, par mein bhulna bhi nhi chahta...
Safar se thak gaya ho mein, par ruk na bhi nhi chahta...
-
Ek ajeeb si galfat mein hai yeh zindagi,
Tum ko kho dene ka gum bhi nhi,
milne ki khushi bhi nhi,
Raat ho gayi hai sona chahta hoo
par aankhon mein neend bhi nhi,
Na ashq bahaya na fariyad kari
Khabar bhi nhi dil ko, ki hua kya hai,
Kabhi na karte yeh ishq karne ka zurm hum,
Jo zara sa bhi ilm hota ki iski sazaa kya hai..
Tere dar par hoo mein ab tu hi bata
ki zindagi k safar ka raasta kya hai...?-
Har koi umar bhar saath dene ki baatein karta hai,
Fir kyu har koi rishto ko apni nazro k taraazo se taulta hai?
Jab koi sach bayaan karta hai usko hi
aakhir mein khamosh hona padta hai,
Itna bhi waqt nhi apno k liye ki unki khushi mein khush ho sake, Roz hum ko tanhai se ladte rehna padta hai
Dhundti hai nazre ek chehre ko jis se kar sake apne dil ki baat, Iss koshish mein har roz nakamyabi se milna hota hai,
Chahat hai har kisi ki sacha insaan mile iss safar mein
Kaun khud kitna pak-saaf hai yeh toh
humare zameer ko pata hota hai
Aainee se jo nazar nhi mila sakte
wohi khud ko khuda ka banda bolta hai?-
Shor mein tanhaai ko dhundta hoo,
Bheed mein apno ko dhundta hoo,
Guzrey lamhoo mein hum-safar ko dhundta hoo,
Aaj mein aane vala kal ko dhundta hoo,
Aaine mein ab apne akas ko dhundta hoo...-
"Nazroo k saamne manzil thi hum bhi aagey badte rahe,
Zindagi mein kai dafa girey aur khud ko sambhaltey rahe,
Tanha rahe umar bhar fir bhi dusro k liye muskurate rahe,
Hum wo chiraag hai jo aandhi toofan mein bhi gairon ka ghar roshan karte rahe"-