Kaash ,
Woh bachpan wapas aata
Kaash woh Bachpan
Mobile ke Beena rehna ka
Chand ko dekhte hue sone ka
Nani ke kahaniyan sun ne ka
Nana ke kandhe pe baithke saara shehar ghumne ka
Dada ki lakdi ko chipake Dadi ke pallu ke peeche chup jaane ka
Kaash woh Bachpan wapas aata
Aaj kal likes follow share se chalne wali Dosti banegi bhi jaldi aur tootegi aur us se jaldi,
Messages ,calls , watsup , instagram, facebook Snapchat wali busy ,
Zindagi ko kya pata
Asli Dosti ki khubsurati
Aangan me khelna
Uncle aunty cousin's bolne wale zamane ko kya pata ,
Khala ,khalu ,Didi ,bhaiyya kehne walon ke emotions
-
👣🦷👸🥀
E zindagi ,
Aur kitna imtehaan logi mujhse ,
Mene toh Tu jaise bataya tha waise hi kiya,
Tune kaha e duniya tujhe Jo bhi bura bhala kahe ,
Tu sabar kar ,
Tune kaha Log tujhe Taane maare
Phir bhi tu sabar kar,
Tune kaha is duniya tujhe Kitna bhi Neecha dikhaye , Rulaye ,sataye , bewafa kare
Aur tu sabar kar ,
E duniya tujhe ulat palot ke marod de
Tune kaha Par bhi tu Aur jyada sabar kar ,
Akhir kab tak karun aur sabar
Ab toh Apnon ne bhi chor diya hai saath,
Bas Reh gaye hai saath E Hare Gehre zakhm .
-
आपसे विसाल हुए बिना हि
जुदा होगए,
जब से तुम हमसे जुदा होगाए,
शब मे महाताज तक नजर ना आता है,
सुबह आफताब कि
रोशनी फीकी गिर जाती है,
वो रंगीन सा Qous o Qazah,
ना उम्दा लगता है,
जब से तुम हमसे जुदा होगाए
किसी चीज से दिल ना लगता है.
ना किसी से गुफ्तगु करने का मन करता है ,
फिर किसी से उम्मीद रखने से ऐ दिल ना करता है,
और किसी से वफ़ा करने ऐ दिल घबराता है.
-
E ek tarfa rishte dekhne ke liye ,
Kitne aasan lagte hai ,
Jo iss risthon ko nibhata hai usko hi pata rehta hai kitna mushqeel hai iss waqt me jeena ,
Jisko ham wafa kar baithe
Usko kisi aur ke saath
dekh kar anjaan ke tarah sar niche jhuka kar chale jaana,
Jis raaste se woh guzar ta hai usi raaste se guzarna magar saath nahi ,kyunki
Raaste toh dono ke ek hai
magar Manzil nhi ,
-
Jaat paat kya hai. ?
Jaat paat karte ho ?
Konsi jaat ka khoon hai is bottle me kaha hai kabhi ? Marne ke pehle ,
Ek baar Pucho toh sahi .konsa jaat ka khoon hai is bottle me ,
Hindu ka ,ya musalman ka ya isaayi ka ,kiska khoon hai ?
Puchte kyun nahi , Ab jaat - paat ,bhed - bhaav sab yaad bhool gaye .
Itna kyu ghamand karte ho E insaano jaat - paat ke naam pe Jab apko ,iss mitthi me hi lait jaana hai toh .
-
ಬಾಳಿಗೆ ಬೆಳಕಾಗಿ ,
ಕುಟುಂಬಕ್ಕೆ ಬೆನ್ನೆಲುಬಾಗಿ
ಜೀವನ ಎಂಬ ಬಿಳಿ ಹಾಳೆಗೆ ಬಣ್ಣವಾಗಿ,
ನೊಂದ ಮನಸ್ಸಿಗೆ ಉಲ್ಲಾಸವಾಗಿ,
ಹೂವಿನಿಂದ ಮಕರಂದ ಹೀರುವ ಚಿಟ್ಟೆ ಯಾಗಿ,
ಕುಗ್ಗಿದ ಜೀವನಕ್ಕೆ ಕಾಮನಬಿಲ್ಲಾಗಿ,
ಕಷ್ಟ ಗಳಿಂದ ಮುಚ್ಚಿದ ಬಾಗಿಲಿಗೆ ಬೀಗದ ಕೈಯಾಗಿ
ಕುಗ್ಗಿ ಬಗ್ಗಿ ಕಾಯಕವನ್ನು ಮಾಡಿ ನಮ್ಮನ್ನು ಸಾಕಿ ಸಲುಹಿದ ,
ಈ ತಂದೆಗೆ ಎಷ್ಟು ಪೂಜಿಸಿದರು ಕಡಿಮೆಯೇ.
-
Kaise me samjhawoon un Yateem Nadaan bacchon ko,
Kaise me gumrha karoon
un bachhon ke khayaloon ko,
Kaise me jawab doon ,
Un masoom sawalaaton ko ,
Kaise me jaga doon
Un soye hue sapnon ko,
Kaise me ummed lautadoon
Un toote hue howslon ko,
Kaise me manaoon
Un ruse huye chehron ko,
Kaise me lautadoon ,
un chehron pe khil khilate hui muskan ko,
Kaise me jhod doon
Un toote hue najook dilon ko ,
Kaise me rangeen banadoon
E berangeen zindagani ko,
Kaise me wapas lautadoon
Woh khushiyoon ke paloon ko✨
-