Aik Jawab ki ummed mein
Dinon se Barso Ka Safar Mukmmal ho jaata hai
Aksar khuLoos ke maa'ni mukam'mal Khaamoshi hoti hai
Mukmmal Khaamoshii bhi aik mustaQil Shorrr hai!
Hawa Ke Jhonke // June 2021-
and the goodness of heart. πβ¨
Think
Sink
Swim
Disapp... read more
Lamhe- Din- Saal- Aik Umar
haQeeQat, Khwab aur Kuch khayaal
Mujhe maloom hai Bichhadna hai aik din
pr woh Kehta hai to bura lagta hai
Mujhe Maloom hai safar taveel
yeh shajar ki thandi hawa mukhtasar
Mukmmal Khamoshi
khuLa Aasmaan
Chaand Tanha
|| Hawa ke Jhonke-
I am such a look at the sky person,
Dusky skies and moonlit nights,
Trees and flowers seem to touch the sky,
Rustling leaves on the ground,
A bird in flight against the heavens,
Clouds playing with its form.
How the sun peeks through the clouds,
Sun-rays filtering through trees,
Lying on green grass, gazing up,
Floating clouds, flying birds,
Even the tech birdsβairplanes,
Leaving trails of white smoke.
To be on the terrace, counting stars,
In the midnight hour,
To see the moon
From my window.
#ThingsAboutMe-
Once I said to mother bring a Moon for me
these impracticable Discussion
but (my) Mother (Always) Attained.
//
#MothersDay π-
Kya FarQ padta hai,
Har Lamha Yaad karun
Kabhi Na Socha Karun.
Kya FarQ Padta Hai,
Bohtt khaamosh rahun.
Har Lamha Udaas rahun.
Kabhi Na hansu Karun!
Kyaa FarQ Padta Hai,
Wo Aaye Ya Na Aaye
Har Subh Intezaar karun
Har Sham Royaa karun.
Kya FarQ Padta Hai,
Wo Jisko bhi chahe
Main usko Chahun
Har baar Chahun.
Kya farQ padta hai,
Main Jab bhi Likhun
Yaad Likhun,
Saath Likhun,
Adhoora Likhun..
Kuch na Likhun...
Kya FarQ padta hai. !
//
Hawa ke Jhonke-
Sard Lehje,
...Udaas Lamhe
Ekk Zabtt,
Kuchh Ashkk...
Guzre Lamhe,
Jaise Sapne.
//
Hawa ke Jhonke-
Maine socha thaa,
...Safar Taweel hai thodaa
Aurr Raah Tareek Hai,
'Ye Ek Saniha'
Ek Lamha Hai, guzar jayega.
Ek Khayal hai khoo jayega..
Ek Soch hai Jo abhi paas Hai.
Ek Khushbu hai.. Jo saath hai.
Ek Sukoot Hai Bas Laazim Sa;
Ek HaQeeQat hai Jo Khwab Hai,
Ek Khwaab Hai Jo Sachha Hai...
Woh Jo Aasman Pe Rehta Hai,
Meraa Chaand Hai!
//
Hawa Ke Jhonke
-
Pehle too Main Khaamosh Rahi,
Aurr. . . Phirr Rone Lagii
Zabt Toota
Ashk ChhaLka
TuM Yaad aaaye!-
Kabhii Kabhii Bohtt Zyada bhii
.. Bhtt Kam Pad Jaati Hai,
Kabhii kabhi Boht Kam Bhii
...Bhtt Zyada hoo Jatii Hai,
"Muhbbat Aisi hii Hotii Hai."
Kabhii Thodi Sii Bhi Nahin MiLtii,
Kabhi kabhi Bhtt MiL Jati Hai;
"Wafa Bhii Aise Hii Hotii Hai."
Kabhi Kabhi Kuch nahin MiLta,
Kabhii kabhi sab Kuch MiL Jaata Hai;
"Intezaar Bhii Aisaa hotaa Hai."
Kabhi Kabhi Lafz bhi Nahin Samjh Aate,
"Kabhi Kabhi Khamoshi bhi sunaie De Jaati Hai."
//
Hawaa Ke Jhonke
-
Jab bhi Aata Hai Khayal Tera,
PaLke Bheeg Jaati Hain;
.. . Aurrr
Subhh Hoo jaati Hai.
// Hawa Ke Jhonke ||-