Ba-tufail jiske tabassum tha mira ..
Bin uske samaa-e-pur-sukuu.n kya ijaad karu ..
-
Haal dil e agyaar baya karta hu ..
Chalakta hu kabhi chashm tar kar k ..
Kbh... read more
Mai band karta hu
Jo chashm-e-do-nam
Teri tasveer dikhate hai
Ghul o aaho buqa
Machti hai mire andar
Har rag-e-ghamgeen dukhate hai
Ab tum jo dikho
Or pa na saku to
Bolo mai kidhar jau
Bin aab k hu
Tadapti hui machli
Achcha hai k mar jau..-
Ye maraasim sare saraab hua karte hai ..
Kab nikal jae matlab kiska badal jae lehja ..
Kon janta hai
Shubha hai inhi me se koi qatil hai,qatl ho jau ..
Kab, mit jae imkaan o yaqee.n ka fasla ...
Kon janta hai
Danishvar nahi hu jazbaat mayassar hai ..
Bas,Dil nikal kar nahi rakhta kab toot jae ..
Kon janta hai-
Mujhe dikhta hai sahraa hi, siyah sara
Chashm-e-nam ko deed-e-gulistaa-e-roshan nahi hota ..-
Bas dast e aqdas reesh pa pherkar
Mira marz theek kia karti thi ..
Lagta hai mujhko , shayad
Ma meri kiimiyagari karti thi ..-
Imroz hua aehsas mujhe , ye
Hunar wo khuda se laya karti thi ..
Goyaee ata na thi jab mujhko
Zof hai koi maa jaan lia karti thi ..-
Qalam bhi chalane ka ab ji nahi karta ..
Log samajhne lage hai lafzo me chupe jazbaat mere ..-
Mira Tabassum ujadne ki wajah na bano ..
Mai to pehle se murda hu,or marne ki wajah na bano ..-
Mai paikar hu sharafat ka yu to ..
Gar hawa zamane ki lag jae kuch , nazarandaz kia karna ..-
Ruk jana nahi
Ye safar yuhi kat jaega
Is raat k baad sawera aaega
Ruk jana nahi
Gar tum sath ho
Chahe raah me mushkil badi aae..
Bijli gire mujhpa,aasma pighla jae..
Ruk jana nahi
Gar tum sath ho
andhar bhi aaenge,toofa mujko daraenge ..
Sare raah insani shaitaa sifat dikhlaenge ..
Ruk jana nahi
Gar tum sath ho
-