Kyon na aaj thode se rang chura lun
Kyon na aaj unmukt gagan naap lun
Neele aasman ke sath kyon na holi khel lun
Aaj aasman ko bhi main rangon se rang dun
Basrish ki bundon ko aaj aaftab se mila dun
Aa aasaman tujhe indradhanush ke rang main rang dun
Yadon ki ghatri le sang aaj safar main nikal jaun
Kyon na taaron ke sang kuch guftagu kar aaun
Chand se mil aaun aur apne Chand ki khairiyat Puch aaun
Tara Jo tute gar to dua main tere liye khushion ki saugaat maang aaun
Kyon na aaj safar main khud ko bhula aaun
Kyon na sifar se mukkamal ho jaun
- #Hero