Akhbaaro si zindagi hogyi hai sahaab,
Padha jaa raha hu samjha nhi.....-
Khud ko pura dhak lo ya bana do uchi deewar,
Kya farak pdhta hai kapdo se jab soch hi ho bimar.....
#againstrape-
Dekhna chahta hu tumko....
Bhut waqt beet gya mere har lamhe ke baare mai pata hai tumko,
Thodi si chubhan si hoti h aajkal sine mai ek baar dekhna chahta hu tumko....
Meri har ek aadat buri ya achi sab pata hai tumko,
Mai bhut kam izhaar krta hu pr khud se bhi jyada chahta hu tumko,
Meri takleefo ko mai smjha nhi pata phir bhi sab samajh ajata h tumko,
Saare mausum saath mai jeena hai mujhe mai bs milna chahta hu tumko,
Dur rehte hue bhi mujhe khud ke pas saa mehsus kara dena kaise aata hai tumko,
Ek sukoon sa deti hai wo kiss wali emoji mai bs ek bar chuna chahta hu tumko,
Meri nas nas se wakeef ho kya kar raha hu kya nhi kaise pata hai tumko,
Kasam khai na nhi haath lagaunga sharaab ko mai dukh nhi dena chahta hu tumko,
Mujhe salaah dena papa ka khayal rakhwana sab kuch smjhana kaise aata hai tumko,
Khush naseeb hu jo tum ho mere saath bs ek baar hakiqat mai sunna chahta hu tumko.....
#longdistance
-
Jab bhi naya Makaan Banwaunga.....
Bhut hi utaar chadhao hai is zindagi mai ruk gya to himmat har jaunga mai,
Jab bhi naya makaan banwaunga to sab hoga par sidhiyaan nhi lagwaunga mai....
Har koi jhaank kar chala jata hai zindagi se meri roounga to pachtaunga mai,
Jab bhi naya makaan banwaunga to sab hoga par khidkiya nhi lagwaunga mai....
Uski har saal giraah ke tohfhe mere diye hue wo le gyi to kya use bhool jaunga mai,
Jab bhi naya makaan banwaunga to sab hoga pr Almaari nhi banwaunga mai....
Zameen ko aukaat btaya mai baarish mai bheega hua tha beth gya kab tak kap kapaunga mai,
Jab bhi naya makaan banwaunga to sab hoga pr Sofa nhi lagwaunga mai....
Usne kaha tha sham ko wo aayegi,uske aane ki aas mai kab tak nazare tikaunga mai,
Jab bhi naya makaan banwaunga to sab hoga pr darwaza nhi banwaunga mai....
-
Samjh nhi aata kya karu ye takleefo ke saath zimmedari kaise nibhau mai,
Ek taraf maut khadi hai, dusri aur parivar ki bhuk kaise mitau mai...
Masle bhut se hai tum sunlogi pr kon kon se batau mai,
Bina maa ke ek bana hua samjhdar ladka koi sawal krta hai to kya batau mai,
Jata hu kahi to taane ke siwa kuch sunne nhi milta bardasht kr raha hu warna mar jaau mai,
Dost bhut hai mere pr aaj kal nibhaata kon hai to zaroorat ke samay kisko awaaz lagau mai,
Itne tamaashe, masle, zimmedari mai puchte hai shadi kab karoge to kya batau mai,
Zarorat, laalach, dikhawe ki dosti se akela hi rehna acha hai koi puchta h aajkal dikhte nhi ho to kya btau mai,
Samjh nhi aata kya karu ye takleefo ke saath zimmedari kaise nibhau mai,
Ek taraf maut khadi hai, dusri aur parivar ki bhuk kaise mitau mai...
-
Chahta hu tumhe apni baahon mai rakhna,
Majboor hu abhi raaste apne milo dur ke hai.....
#longdistance-
Fark nhi padhta zamaane ki burai se mujhe,
Gira hua insaan hu phir se uthkar chal dunga manzil ki aur......-
Har soonsaan gali mai ghar saare Bhootiye thodi hai,
Har kisise mohabbat kar le insaan hai Chutiye thodi hai.....-
Pata hai mujhe tum bhut acha padhti ho,
Tumhaare status mai maine mere lafz dekhe the kabhi.....-
Waqt badalta hai thoda sa sabar rakho,
Jo aaye nhi saath wo phir se royenge.....
-