Un baho ki narmi ka ehsaas toh de,
Mai sardiyon ko bulawa de duga.
Apne dhadkan ki koi shor hi samjhle,
Mai apne dil ko chalawa de duga.
Apne neend ke us aandhere mei samet le,
Mai apne sapno ko behkawa de duga.
Bs do pher aur is kajal mei dubke un aakho ka hone de,
Mai apni raato ko us kajal ka sahara de duga.-
ki tm sab samajh toh jaoge.
Par kisi se meri kya burai kroge,
kyu... read more
Be-imaan ne imaan se kaha hai,
be-imaani na krne ko.
Kaato ne phoolo se kaha hai,
guldaste mei sajne ko.
Apna aayina jo dekha sabne sabme,
Toh aayine ne bhi insan se keh dala,
insaniyat mei dhalne ko.
Ab dillagi nahi ki jati aage,
dil ke farmaan likhne ko.
Kuch khoye apno ne khaat bheja hai,
gumnami mei milne ko.
Rishto ke kache dor bhi umeed mei uljh rhe,
apas mei silne ko.
Haare huye ne aaj zamane se kaha hai,
umeed rakhne ko.-
Is dil-e-nadaan ko
ab mashwara nahi dege,
Us zalim ke zulmo ko
ab saza nahi dege,
Aur chand pheher tak
dillagi kr lene dijiye unhe,
Hum berukhi pe kyu na utar aaye
par daga nahi dege.-
Tere abhiman ke dariya mei jo doobe,
Toh un shikayato ne firse aawaz lagai.
Teri berukhi sang mulakat hui,
Kahi dheeme pav us khudgarzi ki bhi aagaz aayi.
Ab ye jo sangam hai teri yaado ka,
Apni kashti yaha bhi dubaege.
Kuch behte behte paar honge,
Kuch dubke tera saar ho jayege.-
Machis ke dabbo mei kaid un chingariyo ne,
Shamshan ki wo chitaye jalai hai.
Khushiyo ka jashn jo hua khatam,
Sannate ki udasi ab chaai hai.
Taboot ke hisse toh mere ek akele ka naam likha tha,
Fir najane kisne aaj mere kabar pe ye jamghat bulai hai.
Zindagi tujhe bht mar-mar ke kata humne,
Ab maut ko jeene ki baari aayi hai.-
Bht akad hai in khudgarziyo mei,
In mijazo ko ab jhuka k dekhu.
Bht ruswai hai in nadaniyo mei,
In khushiyo ko bhi rula ke dekhu.
Khuli aakho se dekhe khawab hazar,
In khawabo ko ab sula ke dekhu.
Jo Kho gayi hai kahi un tanhaniyo mei,
Us hasi ko ab bula ke dekhu.
Bht akad hai in khudgarziyo mei,
In mijazo ko ab jhuka k dekhu.
Kuch kami si hai is chehre pe najane q,
Kahi chupi hui wo hasi fir laga ke dekhu.
Jo udhre sabhi rishtey the apne,
Ab kismat se dubara manga ke dekhu.
Aasman seema nahi meri chahhato ka,
Toh chahida saari uda ke toh dekhu.
Giraya hai is kismat ne kayi baar mujhe,
Ab duniya ke saamne usse gira ke dekhu.
So gayi hai jo khwashiye nadan si,
Meechti aakho se utha ke dekhu.
Bht akad hai in khudgarziyo mei,
In mijazo ko ab jhuka k dekhu.-
Hasrato mei khoja jise,
kurbato mei kahi mulakat hui.
Bade janmo baad,
aaj hmri khud se khi thodi baat hui.-
Na bharose ki insaniyat hai,
na bharose ka emaan.
Mandir-Mazjid hi bhagwaan bech rhe,
Fir kaha jaye insan.-
Khud dikhai nhi deta,
par bht kuch dikhata hai.
Ye waqt hai yaaro,
Ye bht kuch sikhata hai.-
In barish ki boondo se irsha hai mujhe,
Apni har angraiyo mei usse bulawa kyu deti ho.
Tere badan pe ja lipte aesa kuch bhi gawara nhi mujhe,
Mujhse jyada azeez nhi tmhe kuch bhi, fir aesa chalawa kyu deti ho.-