Raunaq Hai Mela Ha
Tu Nahi Hai
Zindagi Guzar Rahi Hai
Janoon Nahi Hai
Jism Tar Tarata Hai Aur
Rooh Kaapti Hai
Dard Hai Fir Nasha Hai
Sukoon Nahi Hai-
Usse Ishq Hoga Nahi
Mujhe Dobara Ho Jayega
Mere Chahne Se Kya Hoga Sahab
Wo Jald Hi Kisi Aur Ka Ho Jayega-
Ye Jo Duniya Ko
Majbut Ban kar Dikha Raha Hu
Dra Sal Main Apne Aapko
Ander Se Kha Rha Hu
Meri Takleefe Dard
Sab Andhera Dekhta Hai
Roshni Hote To Bas
Main Muskura Rha Hu-
Zimidariyo Ka Bakhobi
Nibha karta Hu
Is Tarh Main Khud Ko
Hamesha Tabah Karta Hu-
Ghate Aur Munafe Ka Bazaar Nahi
Ishq Ibadat Hai Kar-o-bar Nahi
Uske Husn Ke Beriyon Me Bandhne Walo
Wo Khoobsurat Hai Wafadar Nahi-
Ishq Ke Safar Me
Neend Aisi Kho Gayi
Wo Aram Se So Gayi
Aur Meri Rat Lambi Ho Gayi-
Galt Kahte Hai WoLog
Ki Faryad Agar Shidat Se Karo
To Puri Jarur Hoti Hai
Usse Maine Puri Shidat Se Hi
Manga Tha-
Fakt Teri Yaad Me Doob Kar
Bharpoor Pita Hu
Kabhi Hasta Hu To Kabhi Rota Hu
Aur Sun Bari Fikr Thi Tujhe Meri
Ki Tujhse Dur Na Ho Jao
Ab Jaan Kar Hakikat Teri
Apne Hoth Sita Hu
Aur Karta Bhi To Kya Karta
Aur Karta Bhi To Kya Karta
Fakt Chup Rahne Ke Alwa
Ab Main Har Roj Teri Yaado Ko
Gale Laga Kar Jeta Hu
Rato Ko Neend Aah Gayi To
Shukr Hai Allah Ka
Agar Khul Gayi Aankhe
To Uth Kar Pita Hu-
Jis Jis Ko Apna Samjha
Usne Nata Mujhse Tod Diya
Kirayedar The Toushif
Sab Ne Ye Makan-e-Dil Chod Diya-
Umar Tai Kar Rahi Hai
Rasta Zindagi Ke Safar Ka
Par Dil Jo Ek Jagah Thaira
To Thaira Hi Rah Gya-