13 JUN 2018 AT 13:21

Usse awaaz deni thi use waapas bulaana tha,
Zaroori baat karni thi, koi waada nibhana tha,
Koi madad karni thi, uska hausla badhaana tha,
Deriina raasto pe phir uske saath jaana tha
Badalte mausamo me dil ko lagaana tha,
Kisi ko yaad rakhna tha, kisi ko bhul jaana tha
Usko zindagi ke har gham se bachana tha,
Yun kaandhe pe sar rakh ke koi nagma sunana tha.

- Tamseel Aquib