Kuch yaadein hain Jo ab tak zinda hain
Kuch dard hai jisne humey maar diya
Wo jo chaley gyein hain wo to hummein zinda hain
Aur unki yaad hai jisne humey maar diya
Jee to koi nhi paya iss duniya mein
Dard mein kaati hain sabne kuch raatein
Kuch to khoney se darte hain
Aur kuch bs darr gyein hain sab kho kar
Humey pana kya hai iss duniya mein
Fir bhi hum jeete hain
Ghum hai ki saha nhi jata
Aur hum hai ki hr roz ghum peete hain
-
Jo taqleef zahir nhi hoti
Wo taqleefein khuda janta hai
Dil mulayam hai tumhara
Isliye khuda tumhe mohabbat se aazmata hai
-
Kya jab surkhru ki baatein hongi
Tab sukooniyat bhi dekhi jayegi?
Jab zikr ulfatoon ka hoga
Tab neeyat bhi dekhi jayegi?
Kya jab subah ho jayegi dhoop nikal aayegi
Tab bhi chand ki baatein ki jayegi?
Jab zikr khubsoorati ka hoga
Tab tarz e nigah bhi dekhi jayegi?
Kya jab sab ruk jayega sirf khamoshi hogi
Tab badalon pr nazar tikayi jayegi?
Jab zikr mera hoga baatein meri hongi
Tab meri khamoshi bhi dekhi jayegi?
Aur kya jab hum pursukoon hongey
Tab meri junooniyat bhi dekhi jayegi?
Jab zikr meri manzilon ka, baatein mere khwabon ki hongi
Tab unki nigaahein tumpr bhi jayengi...
Bolo, tab kya meri kafiyat bhi dekhi jayegi?
-
Mahroom thi mai apne hi khayalon se
Khwaab thein mere
Lekin unhone unn khwaabon ki taabeer bata di
Baadi derhogyi thi,aankhein khulne hi wali thi
Lekin unhone badi jaldi hi meri quwat e takhayyul ki tasweer bana di-
Sab dundhla sa hai to kya
Mai yun hi rukungi nhi
Mai bezaariyon ke aagey jhukungi nahi
Mere apne khwaab hain to kya
Mai unke khwaab bhulungi nhi
Sab dundhla sa hai to kya
Ye aasmaan mein sirf taarein hi hain to kya
Mai chand ko bhi le kr aaungi
Abhi andhera hai to kya
Mai wo sawera bhi le kr aaungi
- TZFЁЯСС
-
Wo din bhi aayega kya
jab meri khwaishein haqeeqat hojayengi?
Tab, mere jazbaat mujhse milne aagyenge kya...
jab meri quwat mein izafa ho jayega?
Tab meri umeed mujhse milne aayegi kya...
Wo din bhi aayega kya?
Wo din bhi aayega kya
jab taareefen hongi meri kabiliyat ki?
Tab, mujhe samjhne wale bhi aayenge kya..
jab bheed hogi hr taraf
Tab, tanhiyon ko janney wale bhi aayenge kya
Wo din bhi aayega kya?
Wo din bhi aayega kya
jab sabr ka ajr milega?
Tab wo sabrdaar milne aayenge kya...
jab khuda ki ijazat hogi?
Tab mujhe "wo" pehchanney wale mujhse milney aayenge kya...
Aisa bhi din aayega kya?
- TZF ЁЯСС-
Takht o taaj hongey zaroori
Magar,
Tasqeen e dil ko, tawajjo de kr to dekho
Manzil ko pana hoga zaroori
Magar,
Zara Inn kaaton se bharey raaston pr bhi itra kr to dekho
Chalo mana shaksiyat badi honi chahiye
Lekin,
Kabhi apney ander bhi, jhak kr to dekho
Apne dil ki sunna bhi zaroori hai
Magar,
Apne rab ki baaton ko maan kr to dekho
Khubsoorat hona zaroori hoga
Magar,
Zara khoobseeraton pr apni nazrein tika kr to dekho
Chalo mana chamak damak mein kho jate hain sab
Lekin
Kabhi andhere mein, khud se pehchan krke to dekho-
Tavakko rakha Jaye kya apne mustakbil se?
Tawajjo Diya jaye Kya iss zindagi ko?
Kya kiya Jaye?
Jab, Shaukh rakhne ki umar mein
Sadgi pasand aa jaye
Dil lagaya jaye?
Ya Dil tod Diya jaye?
Kya kiya Jaye?
Jab, Dillagi ke daur mein
Dil lagane se dil mukar jaye
Hr cheez se ulfat ki jaye?
Ya hr ulfat ki cheez se dur ho jayein?
Kya kiya Jaye?
Jab,sab paney ki khumaar ho, aur
Kuch khoney ka darr mann mein baith jaye
-
KHUDA KI BAAT KRTE HAIN
Logon par tashaddut krke wo, zulm khatam krne ki baat krte hain
Khoon baha kr wo diye jalane ki baat kiya krte hain
Khuda ke Ghar ko shaheed krke wo khuda ko dhundhne ki baat krte hain
Ye kaisa khaufnak manzar hai
Khuda ko naraz kar wo khuda ko paaney ki baat kiya krte hain
To, Khuda ki baat krte Hain Ya Khuda banne ki baat krte Hain wo?
Wo kyun zulm krke, insaaf ki baat kiya krte hain?
-
рдПрдХ рд╣рд╡рд╛ рдРрд╕реА рдЪрд▓реА,
рд╕рдм рдХреБрдЫ рдердо рдЧрдпрд╛ рд╕рдм рдЫреВрдЯ рдЧрдпрд╛ред
рд╡реЛ рдмрд▓рд╛ рдЖрдИ рдЬрдм рдмрдЧреИрд░ рдирд╕рд▓ рджреЗрдЦреЗ,
рддреЛ рд╣рд░ рдЗрдВрд╕рд╛рди рдЯреВрдЯ рдЧрдпрд╛ред
рдмрдбрд╝рд╛ рдЧреБрдорд╛рди рдХрд░рддреЗ рд░рд╣реЗрдВ рджреБрдирд┐рдпрд╛ рд╡рд╛рд▓реЗ рдЕрдкрдиреА рдЖрдЧрд╛рд╣реА рдкреЗ рдЗрд▓реНрдо рдкреЗ,
рдпреЗ рдкрддрд╛ рдирд╣реАрдВ рдХрд░ рдкрд╛рдП рдХрдм рдЦреБрджрд╛ рд╣рдорд╕реЗ рд░реВрда рдЧрдпрд╛ред
-